Tuesday, June 4, 2013

HAAZIRAAT KHUD:

bahot se dostonay mujay
haziraat jo khud amil nazara kar sakay aisa amal blog me likhnay k kai
mails aur msg kiye.
mere murshid ka karam hai ki mere pas aamal ki kami nahi.
haziraat khud par kholnay k liye kai mashqay karni parhti hai,jaisy
aaina-bini,daaera bini,etc.aur khud pe haziraat karnay me har koi
insan kamyab nahi hotay.usmay rohaniat ka hona zarori hai.
yahan jo tariqa hai usmay kaamyabi k imkanaat ziada hai.
agar koi khud pe haziraat kholnay ka shaukeen ho to pahlay chillay me
kaamyabi na milay to 3 chillay karay.inshallah wo zaroor apni manzil
paalaega.

TARKEEB:
es haziraat k liye apna chehra saaf dikhay utna barha w saaf naya
aaina lena hai.ek box aur aik black parda.
aainay k darmian me kajal se ek rupay k barabar daaera banaye.
kajal bananay ka tariqa meine es blog me likh dia hai.
ab es daaeray par itr gulab lagaon.kuch khusboodar agarbattian jalayi jaen.
aap pak saf jagah pak saf libas me ho.musalla par baith kar 11 martba
aaytal kurshi parh kar hathon par dam karkay tamam badan par pher lay.
ye amal apko rat 12 bajay shuroo karna hai.
ab aaina k daaeray me nazar rakh kar
awal o akhir
101 martba
durood e pak
2100 martba
يا بديع العجائب يا كاشف الغرائب
Ya Badiul Ajaaibi Ya Kashiful Gharaib
parhay.
40 din parhna hai.
aakhri arsay me daaeray me nazaray dekhnay ko milaegay.aap se batchit
karaengay.salam karaengay.aap sir hilakar salam ka jawab de zuban se
kuch jawab na de parhayi pe me dhyan de. aap ko chizay dengay aap na
ussay bat karay na koi chiz le.tadad ka khyal rakhye.
chillay k akhri din parhayi ki tadad khatm karnay k b,ad bat karay aur
hazir honay ka wada lele.
ye amal sirf haziraat tak mahdood nahi agar ALLAH ne kamyabi ata ki to
kai rohani taqt k malik banjaengay.bahot taqtwar amal hai.
PARHEZ:
Gosht anda machhli,pyaz lahsoon hing bidi cigaratte aur tamam ashya
jissay badboo paida ho.sex se parhez hai.
jhoth,gibat,aur hasad se door rahay.halal rizq istemal karay.namaz e
panjgana k paband rahay.
agar istigfar qalma taiba aur durood ki kasrat karaengay to amal me
kuch kamjori hogi to essay amal ko taqt milaegi.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.