Monday, May 13, 2019

GHAIB KI KHABAR SE AAGAH HONAY KA AMAL:



TAREEQA e amal yun hain ki  es amal ka izhaar kisi se na kiya jaen aur
amal se pahlay hi kisi mohtaj ko khana khila diya jaen aur khush kar
liya jaen.urooj maah se kisi saad din aur saad saat se b,ad e fajr ya
isha es amal ko shuru karna hain.aur amal ye hain ki bawazu aur
huzoori qalb k sath rozana waqt muqarrar pe 2500 martba sirf بسم اللہ الرحمن الرحیم

Bismillahhir rahmaan nir raheem parha jaen aur aur agar taqt aur sahuliyat hain
to pahlay din roza bhi rakho.40 din tak waqt muqarrar pe muqarrar
jagah pe parha karay 

ha kisi din waqt muqrrar par na parh sakay to pahli fursat
me lekin fajr w zohar k darmiyan amal parhlay aur tark na karay.essay amal kuch kamzor ho jaega par
bekaar nahi jaega.


.aur amal ki muddat 41 din ki hain.esmay  amal ko poshida
rakhna hain aur kisi pe kabhi bhi zahir na karay.
Amal k bad khwab me aaeda kya honay wala hain wo aagahi hojati
hain.razdari shart hain.jab bhi raz faas kiya amal bekar ho
jaega.mainay kiya tha, aur bahot khub amal hain.
Bad me tark kar diya.esmay jo bataya jata hain uskay liye aapko achi
bhi aur buri bhi khabar milaegi aur buri khabar se aapko faeda ye hoga
ki aap ussay bachnay k liye tadbeer kar saktay hain.sadqa ya amal
vigera karkay.
Jaisay aap ne safar ki train ticket nikali aur khwab me us train ka
hadsa batay to aap sadqa de aur safar na karay . ye nahi karna hain ki
railway ko train na chalanay ki hidayat de de.ye hamara kaam nahi hukm
Allah ka hoga to har haal me hoga aap pe faizan e bismillah hain to
kisi ne bachnay k liye aagahi kardi.kisi ristedar k mutaliq ho to usay
kisi bhi bahanay se rok saktay hain.matlab chhotay qadam utha saktay
hain.
Aur main es amal ka natija dekh chuka hun.
Amal k bad 150 martba wird me rakhay.
*ye amal wo hi hazraat karay jo raz ko poshida rakh saktay ho,kyu k jo
kachay pet walay hain uspay ye amal ki rohaniyat hi nahi khulaegi.aur har kisi ko har ek bat maloom nahi ho sakti har kisi ka ruhani level mukhtalif hota hain.