Sunday, May 3, 2015

HAZIRAAT e ARWAH KA ANOKHA AMAL:





Meray dost bar bar haziraat khud dekhnay k aamal likhnay ko mails kar rahay hain.haziraat khud dekhna koi barhi bat nahi mahnat hain aur chilla kashi hain.lekin aisay amal main yahan nahi likhta aur lekin  meray course me main sikhata hun.
Yahan aap sab k liye behad aasan tareeqa haziraat arwah ka pesh kar raha hun jissay har koi bagair kisi chillay k zakwat k essay faeda hasil kar sakta hain.
Ye haziraat bilkul waisy hain jaisy mainay ek post 2012 me hazirat rooh se part 1,2 me likha hain jiski link ye hain….

usmay aapko ek stove k zariye tareeqa haziraat ka bataya tha.
Esmay bhi ek tareeqa bata raha hun aur essay aap aasani se haziraat kar saktay hain aur aapkay sawalon k jawab bhi hasil kar saktay hain.
Kuch din pahlay mainay eska tajorba kiya main aur meri beti dono ne es haziraat ko kiya.meri beti ne pucha ki usay kitnay percentage milaengay[meri beti 5th me hain],jawab diya gaya ki 85%.
1 may ko meri beti ka result tha aur main khud laynay gaya to result tha 85.78 % .
Aur kuch aur sawal kiya tha jiskay jawab me abhi der hain.khair mujay laga ki esay aapsay share karna chahiye taaki aap bhi essay faeda hasil kar sakay aur apna tajorba karay.

TAREEQA eska ek dam aasan hain.ek drawing papper pe jaisay mainay image me naqsh banaya hain aisa naqsh bana liya jaen aur ya kisi se banwa liya jaen.ab ye tayyar ho jaen to aap haziraat k liye tayyar hain.jab hazirat karni ho to es papper pe jispay apnay naqsh tayyar kiya hain uspay ussay thoda barha kanch yani glass rakha jaen agar aapkay pas koi aisa table hain jispay barha glass rakha gaya hain to us table k glass k nichay hi rakhlay.ab ek rupay ka coin lay ya phir pani k bottle ka ek dhakkan lay lay.
Do insan chahiye es haziraat k liye.aur pahlay se tay karlay ki hazir honay wali rooh se sawal kaun puchhaega?.ab agarbatti jalayi jaen aur wo do log jo es haziraat me hissa lay rahay hain wo apnay sidhay hath ki kalmay ki ungli[index finger] halkay se coin pe ya dhakkkan pe jo bhi aap estemal kar rahay hain,uspay rakh de aur dono me se koi ek ya wahan maujdud me se koi bhi mard aurat 1-1 martba durood e pak aur 3 martba es azimat ko parhay.aur uskay bad hukm lagaye ki koi bhi nek rooh yahan ho wo hazir ho chand bar aisay hukm laganay se coin sarkna shuru ho jaega aur ya to jahan mainay Ha ھاں
 likha hian wahan chala jaega ya phir Aaagaz آغاز likha hain wahan sarakta huva chala jaega.esmay jo dono medium hain usay aisa lagaega ki samnay jo uska sathi jisnay ungli coin pe rakhi hain wo dhakka de raha hain coin ko aur samnay walay medium ko ye maloom hota hain ki uska sathi khinch raha hain.
Jab aapko lagay ki coin sarakta huva kisi khanay me chala gaya hain.to ap uska hazir honay k liye shukriya ada karay aur phir unsay sawal jawab k liye ijazat mangay.
*har sawal k bad coin ko dono medium bagair ungli ko coin se uthaye huvay sarka kar aagaz k daeray me lay jaaya karay.
Jab ijazat de di jaen yani khana Ha  me coin ko le jaaya jaen.to aap me se jo sawal k liye tay huva hain wo sawal puchay.
Sawal aisy puchay ki ha ya na me reply milay.taaki aapko jaldi jaldi reply milay.kuch tajorba k bad ap ha ya na se hat kar bhi sawal puch saktay hain.
Jo bhi jiska sawal ho wo khud uska jawab note karlay.
Aap hazir honay wali rooh se uska naam puch saktay hain.wo jinn hain ya digar arwah hain wo bhi puch saktay hain wo aapko jawab dengay.
Jab aap haziraat khatm karna chahay to dubara uska hazir honay k liye shukriya ada karay aur usay janay k liye ijazat de de.jab aap ijazat dengay to coin sarkta huva alwida k daeray me chala jata hain.agar aisa na ho to aap dono medium khud coin ko us daeray me khinch kar lay jaen uskay bad hi hazirat ko khatm karay.
Bagair hazir rooh ko ijazat diye mahfil ko khatm na karay.aur bich me medium khyal rakhay ki coin se wo hath na hata lay.
Es haziraat me koi majaak na kiya jaen aur arwah jissay naraz ho aisay sawalaat na pucha jaen.
Main yakin se to nahi kah sakta ki jo bhi sawal ko jawab diye jaengay wo durust hi hongay.lekin jab aap tajorba karaengay to aap khud samj jaengay.
Asebi mariz ki maujudgi me ya aisy aasebi jagaho  pe haziraat ka tajorba na karay.es haziraat ko aap ouija bord na samjay jo sirf time pass ka ek tool hain.lekin ye haziraat sahih me rooh ko hazir kar sakti hain aur ummid hain ki nek hi rooh hi aaegi kyu k naqsh se ki ja rahi hain wo bahot qawee hain aur ye tareeqa mainay khud banaya hain taki koi barha nuqsan na ho kisi ko.
Chori ya khoon k mamlat na dekhay jaen.
Aur medium do hi rahay.akelay hargiz na karay. Aur mahfil k khatm honay k bad naqsh ko sambhal kar hifazat se rakhlay.agar apko lagay ki ye aapkay liye haziraat mufid hain to aap es naqsh ko achay se frame karwa lay kyu ki glass lagwanay se coin aasani se sarkta hain.dusra esko aap chand ki 14 vi rat ko khulay aasman k talay chand k samnay rakh de puri rat aur pas me kuch gulab k phool aur agarbatti jala kar rakh de aur ahtiyatan subah tuloo aftab[sunrising] se pahlay har haal me lay lay.aur jab kaan na layna ho to kisi box me rakh de ya kaalay kapday me rakhlay.aur direct sunlight se bachaya jaen.jo jo ap recharge karaenay aapko ye ziada powerful nazar aaega aur arwah bhi jald hazir huva karaegi.
Hazirat k liyeparhnay ki azimat ye hain...
   بسم اللہ الرحمن الرحیم اقسمتُ علیکم یا معشر الجن والارواح اُحضروا اُحضروا اُحضروا بحق حضرت سلیمان بن داؤد علیہ السلام 
Bismillah hir rahman nir raheem,Aqsamtu alaykum Ya Maashral jinni wal arwahi Uhduru Uhduru Uhduru Bihaqqi Hazrat Sulayman bin Dawood alayhis salam.
 
*medium ko chahiye ki apna hisar karlay,zaroori to nahi lekin ahtiyatan karlaena chahiye.
*jo paper pe naqsh bana jaen usmay jo darmiyan me huroof likhay aur numbers bhi likhay hain uskay darmiyan kuch fasla rakha jaen taaki coin unpay aaen to koi harf dab na jaen.


#ltija….
Meri post ki link share karay chori karkay puri post nahi…!

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.