Sunday, November 8, 2020

HAZIRAAT E ROOH Ka Ek Aasan Sa Tareeqa:

 


es tareeqay say aap kisi bhi aas pas ki arwah say sawal w jawab kar saktay hain aur apna kam bhi karwa saktay hain.essay pahlay arwah say sawal w jawab ka ekdo tareeqa main likh chuka hun.

eskay liye koi khas din mahinay ki pabandi nahi lekin kamyabi kab hogi ye har ensan ki rohaniyat pe hain,koi chand minits may kamyab ho jaega to koi kuch din may ya ek mah may.

main Rohani Haziraat blog pe likhta rahta hun lekin ab waqt kuch kam mil raha hain to posting kam kar di hain kiyu k mujay meray course member ko bhi waqt dena zaroori hota hain.phir bhi kabhi kabhi waqt nikal kar aap sab jo ki meray blog reader hain rohaniamliat w rohanihaziraat rohani tajorbat rohanifaalnama k un sab k liye kuch na kuch pesh karta rahta hun aur aap log pasand farma rahay hain..alhamdulillah.eskay liye aapka khadim samar ali aap sab ka shukr guzar hain.

TAREEQA ekdam aasan hain.aapko kisi tanha makam pe tanhayi w sukoon say baith jana hain aur samnay ek kanch ka khali glass rakhna hain aur uskay upar ek sufaid plain kagaz rakhdena hain.aur phir dhimi aawaz may ye kahtay jaen ki agar yahan par koi nek arwah hain to meray samnay k es glass k papper ko nichay giraday.aesa lagatar boltay rahay dhimi aawaz may aur chand agarbatti bhi roshan kar rakay taki mahol rohani ho.loban w gugal ki ho to behtar hain.jis jagah aap amal kar rahay hain wahan hawa na chal rahi ho aur pankha bhi na chal raha ho uska khyal rakhye.es ko karnay k liye sab say behtar waqt magrib ki azan say ek ghanta qabl hain.lekin usi waqt pe karna koi shart nahi.aap jab bhi apna furshat ka waqt paaye ka saktay hain din rat ki bhi koi qaid nahi hain.

kuch dar aesa lagatar boltay rahnay say agar wahan ki koi nek arwah aapsay mulakat chahegi to wo kagaz ko nichay gira degi.aapko shukriya aap aaen ye bol kar kagaz wapis glass par rakh dena hain,

aur phir puchay ki kiya meray kuch sawal hain aap jawab dengay agar dena chahay hain to kagaz ko glass say gira dijye..aesa chand bar bolay to wo gira dengay.phir sawal puchh saktay hain lekin uska jawab sirf Ha ya Na may hi ho.aur uskay liye aap ye kahay ki eska jawab Ha hain to kagaz ko meri taraf geera dijye aur agar Na  hain to meray samnay ki janib.to aesay hi kagaz gira kar ha ya na may jawab diya jaega.

shuruaat may ek do hi sawalat puch kar uska shukriya ada karay duayiya alfaz say usko rukhsat karay ki aap ja saktay hain.aur agar dubara rabita usi rooh say rakhna ho to usko puchay ki kiya main kal aapko bulaunga to aap aaengay? wo ha jawab de to dubara bulaega.yun aapko tajorba hota jaega aur kabhi aap ko koi kam hoto wo bhi unko bataye wo kardaengay ya nahi wo jawab dengay.lekin Na kahay to hargiz usko force na kiya jaen.sirf Na kahday to wo bat wahin khatm karay.

bas ye  hi tareeqa hain koi parhez chilla nahi sirf sabr say mahnat karay agar awwal din kamyabi hasil ho gayi to Allah shukr warna chand dino tak mahnat jari rakhyega wo sab kuch bataengay.

ha,ek bat khas ishara sirf kagaz k giranay pe hi maangay.warna wo kisi chiz ko girakar hazri mahsoos karaengay ya chaanta/thappad bhi mar saktay hain.waisay dusra koi khatra ya nuqsan nahi aapko nek arwah ka alfaz dohrana hain taki koi nek rooh ya jinn hi aaega.

aakhir may janay ka hukm lagadiya karay.

aur ek bat es tareeqay ko koi khel samj kar na karay.iteqad hain to hi aagay barhay.

koi sawalat hoto mail kar maloom kar saktay hain aur ummid rakhta hun ki aap tajorba bhi mujsay zaroor share karengay.haziraat92@gmail.com