taskheer arwah aasan nahi aur khatray se khali nahi.aasan hota to aaj
har koi amil e arwah hotana?yahan me ek apni kahani batata hun jo ek
anokhi taskheer e arwah hai.
shayid kisi amil ko ye kaam aajaye.
ab asal baat
mere pas ek mariza aayi jis pe koi bahri asar tha.
jab meine usay dekha aur hukm kiya to uspay ek rooh hazir hui aur boli
ki mein espay es liye aayi hu ki mujay ye aurat bahot achi lagti
hai.aur shadi k dusray din miya biwi ja rahay the to mujay ye aurat
nayi dulhan k libas me bha gayi.aur kai bakwas kiye. mera usool hai ki
pahlay me samjata hun ki tum esay chhor do aur jaisy ek insan ko
samjatay hai aisy samjata hun.aur kai maan bhi jatay hai.
ye bata rahi thi ki mera nam CHAMPA hai aur mein hargiz nahi
jaongi.aur mujay hath jorhnay lagi ki mujay rahnay do mein kuch
parayshan nahi karungi.
mere lakh mananay pe jab wo na maani tab meine apna rohani tariqa
apnaaya.aur jab usay behad maar parhi aur muj se bhikh mangnay
lagi,aur kahnay lagi k tum jo kaho wo karnay ko tayyar hu.
meine kahan ki thik hai to bata ki es aurat pe kya hai? (ek aurat jo
elaj ko aayi thi) to usnay uska saara mazra byan kar diya aur wo aurat
bhi hairat me parh gayi.meri nazar me bhi jawab duroost tha.
meine kahan ki tum h.sulemaan ki kasam khaon ki meri tabedar
rahogi.usnay kahan ki 6 maah tak rahungi.
meine kahan thik hai esay ziada rakh kar kya karaengay.meine ha kahdi.
aur wo aurat geer parhi.
bas phir kya usdin jab tak saael mere pas aatay gaye wo sab ka haal
mujay kaan me batati gayi.wo na mujay nazar aati na kisi aur ko.usmay
se mein kuch saael ko batata kuch chhupa layta.
phir jab subah hui to meri biwi kitchen me gayi to wahan chayi-nashta
tayyar tha.meri biwi mere pas aakar boli k ye kya mazra hai?to CHAMPA
ne mere kaan me bol dia.meine kahan daro nahi tumharay kaam ab aisy hi
hotay rahaengay.aur kai kaam ghar k wo karti thi.par ek kamzori thi ki
wo door ki khabar na lapati thi aur jab azan hoti to bhag jati thi.aur
raat ko hisar parhtay to subah hi aati.aur wo jab wo mere pas aati to
ek ajib boo nagawar aati thi.
ye mere murshid k faizan se mere taabay thi.
khair aaj me ye apko esliye bataa hun ki jumerat ko wo chali gayi
mujay yaad nahi tha par usnay bol diya k mera vada(6 mah) pura hua ab
mein jati hun.meine kahan ki 1minit rukja.par wo na ruki na phir koi
ahsas hai.
hai na ye ek anokhi taskheer.
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.