Sunday, February 19, 2012

HAZIRAAT DARBAR E JIN


Ye haziraat ek shoabdah hai.kuch log ya jaali amil bache ko bitha kar jin ko hazir karke sawal ka jawab hasil kartay hai aur log mutasir ho kar wo nakli baba ko taqatwar amil samjte hai aur unki ulti sidhi baton me aajatay hai aur ilaj ke nam par mooh mangi rakam detay hai.
khair,me yahan aapko aisy haziraat ka tariqa batata hoon.jisme n to kuch parhnay ki zarorat hai n koi zakwat denay ki.bas,jo chizon ki zarorat hai wo hazir karye aur hazirat e darbar e jin me apni faryad le jayen.
ye hazirat me jawabat ka etbaar nahi kiya ja sakta ki esme kaun hazir hota hai wo aap nahi jantay aur jo bhi hazir hota hai woh apka tabay nahi hota.kabhi kabhi durust jawab bhi miljata hai.par phir bhi ye nakli haziraat hai.after all this is one type of mesmerism.

*TARKEEB*

es ke liye jo item ki zarorat hai...!

1.kansay(bronze)ka bartan.

2.kajal

3.candle

4.agarbatti

5.saaf paani

6.midium 9 to 10 yrs old

en sab ko ekttha kar ke aap kansay ke bartan (thali,chhoti dish) me bicho bich kajal se 1 rupay k barabar daag banaye aur agarbatti w mombatti jalayen.ab bartan ko paani se poora bharle
aur bache ko samnay bitha kar siyah daag par ek nazar say dekhnay ko kahen aur kuch dair ba,ad poochhay ki kya tumhara chehra nazar aayan? agar wo ha, kahen to aagay ka hukm lagay aur hazirat karen.
aakhir me jab unhay rukhsat karen to thanx ya aabhar manlay.aur behudaa sawaal n puchhay.es me bache ko darbar jin nazar aata he aur raja jin jawab datay hain.

13 comments:

  1. asslamoalaikum samarali bhai, jnab ye jo kajal plate k beech mein laga hey ye kajal konsa hey? aur bartan mein kajal aur mom batti mix kr k laga kr usi ko pani se bhar dena hey, to agar batti kahan jalani hey? thanx ya aabhar se muraad?
    isaqiali@gmailcom

    ReplyDelete
  2. janab ishaqiali sahb
    kajal to koi sa bhi chalega.aur aap kafoor jalakar bhi kajal banaa saktay hai.
    plate ya bartan me bich me ye kajal lagana hai.aur phir paani bharna hai.jo mombatti hai wo bartan ke pas jalani hai,aur agarbatti khusboo k vastay jalani hai.
    thanx yani jo bhi hazir huaa ho jab ijazat day tab unka shukria man,na hai.

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  4. Aoakm._>mohtram hazrat mai ap hazrat par amil samarali or unke blog's k bareme kuc arz karna chahta hun.mai kaii amilose mila sathraha magar amil samarali sa koi nahi paya.marzki tashkhis ka ek amal mai janta tha or inki ijazatse pahle is amalse kamleta tha magar nakam rahta tha.or jabse hazrat ne ijazatdi h hairat angez mushahde hue.ye badki bat awal roz jab ijazat mili wo hairan kun nazare hue ki zaban kahnese qasir h.magar ye tabhi hi hoga jab apko shak na ho or agar apko kisi amalme shak ho or nek amal kisi buri niyat se karoge beshak kitnahi zabar dast w azmuda amal q na ho nakam w na murad hi rahoge islye in batopar amal na kariega.or ahmaqo ki tarha ye sawalat kisi se na kariega ki apke qabzeme jin h ya moakkill h?.qki aise sawaloke amil hazrat jawab nahidete.apko kisi amalke bare me shak ho to amal karke apna wapt barbad nakariega.koi amil kahta h mere pas jin h ya moakkil ya koi bhi ruhani quwat h to wo makkar farebi dhokebaz h uski niyat kharab h aise shakhs se durrahega.kisi amil k pas koibhi ruhani quwat h or amil bataega to hamesha k lye amalse hath dho baitega or nuqsan e azimbhi uthaega.islye is blog par anewale bhaiyo se darkhwast h ki inhe koi amil na milaho to ye blog apki kami ko inshallah pura kareg.or jo bahne is bolg par ae wo is blog ko chorkar yahan wahan bhatak kar apni izzate na lutwae.jo zarurat ho AMIL SAMARALI SAHAB se contect kare.ab tak meri koi bat aisi nahi jo mai pucha hun or mukammal jawab na mila ho.apbhi amil sahabki ijazatse nek niyatse amalkarie.phi asar na dikhe to kahna.wassalam.:

    ReplyDelete
  5. Aoa:hazrat mai jo samjha hun ye agar sahih h to han kahe to kafi or nahi to plz bataiega...(1)dono nqsh ek hi h.(2)khano me sirf lafz hi likhna h 1 se 16 tak adad nahi adad to batane k lie h ki nqsh in nambaro k muta bik pur hoga. (3)kya ye nqsh gair muslims k hath me de sakte h?.(4)sabse bari dikkat ye h ki jab mariz par haziri hoti h to mariz mere kapre pakar leta h bar bar mujhse lipatkar larta h or amal parne hi nahi deta jaise hi dilme drud parta hun muje marne lagta h jab parna band karta hu to khamosh hojata h ise khudsd durrakhne k lie kya kia jae jabki ayatlk ka hisar11dafa karta hu. (5)Or mariz ko uski asli halatme lane k lie kya kare.plz bataiega wassalam

    ReplyDelete
  6. Aoa:hazrat ya ali k mokkil apki ijazat se mukammal madad karege ya mujhe kch parai karni hogi taki puri puri madad mile. Kya is amal se orbhi kamlie jasakte h jaise ki bhage hue ko wapas lana ya biwi shohar se naraz ya dono ek dusre se naraz h to inme sulha karna ect kam lie jasakte h.plz bataiega wassalam

    ReplyDelete
  7. jawab apko email kar dia gaya hai.

    ReplyDelete
  8. Aoa:>hazrat nqsh do h kis nqshki zakat ada karni h? Musallas jo 798 se shuru hota h uski ya murabba jo 1 suru hota h uski?. Or ek bat ki ye naqsh maine likhlie h agar zarurat na ho to inhe hataya jae.jazakallah. Wassalam

    ReplyDelete
  9. bhai,
    jo naqsh 798 wala hai uski zakat adaa karni hai.aur essay apme batni quwat me bhi jabardast asar aayega.khas baat ki jo noori mokil hai wo apka hukm jald manayge.
    ap pahle jald se jald zakat adaa kare phir es naqsh se kam layne ka tariqa btaunga...!
    wsallam.
    .

    ReplyDelete
  10. Aoa:>hazrat nochandi jumerat to guzargai ab ramzanulmubarak me hi ada kijasakti h. Dua me kariega hamarelye bhi.wassalam

    ReplyDelete
  11. Aoa:>hazrat 798 wale nqshme 3 k bad 5 ka adad h phir 6ka kya isme 4ka adad nahi h ya ye nqsh aisahi h jald reply plz.wassalam.

    ReplyDelete
  12. assalam alaikum samar ali bhai mene aik website pe amel hamzad dekha tha usme likha tha ke yeh sabse aasan amel hai usme kerna yeh tha ke usme aik mp3 kuch record tha to us amal katarika yeh tha ke us recording ko 2 ghante sunna tha 3 roz tak to is website ko aap bhi chek kare or sahi hai to reply zaroor kariyega me aap ke jawab ka intezar keronga? ihttp://ilmehamzad.blogspot.com/2010/12/hamzad-ko-tabah-karna-ka-amal.html

    ReplyDelete

Note: Only a member of this blog may post a comment.