Sunday, August 26, 2012

JIN KI BETI PART 3

yun ami abu do alag alag rahnay lagay.ek dusray se shadid nafrat kartay hai.
aur meri tabiat aksar kharab rahnay lagi aur ghar me tangi rahnay lagi.
aur wo kabhi milnay n aaye n khwab me aatay.meri arz bhi nahi suntay.
aakhir hamnay hamaray ek ristaydar jo ek amil the unsay elaj karwaya aur usnay bola ki ye jin abu ki wajah se taklif hai.usnay mere khawind ko kuch parhnay ko dia aur btaya ki ensay wo jal jaengay.meine usay manaa kia par usnay kaha ki dusra rasta nahi warna tumhari jan ko khatra hai.meri lakh manaa karnaypar bhi mere khawind ne wo parhna shuro kia.jissay ghar me jalnay ki boo aanay lagi.phir rat ko so kar jab ham uthay to mere pair me jalan mehsos honay lagi aur folay parh gaye.aisy hi din b din meri halat kharab honay lagi aur mere pairon me zakhm hogaye.meri halat ko dekhtay mere khawind ne wo parhayi chhor di.par mera zakhm kharab hogya aur usme se kiday niklnay lagay.dawaee to kuch asar nahi btati thi.hamnay phir yaha aakar elaj ka socha aur aagaye.
in sort,
meine wo taqtwar jin se jhad-phonk ki bajae,unsay pyar mahobat se kam lia.
meine mumtaz bahan ko ankhen bandh karkay bithaya aur jin ko pyar se yad karnay ko kaha.kuch dair b,ad wo hajir hua aur muzpar gusay ho kar dhamkia denay lagay ki muzay kisi ne ab tak nahi bulaya.mene pyar se baat ki aur aakhir me usay samjaya ki aapne esay beti maana hai aur aulad chahe kaisy bhi galti karay bap estarha saja nahi deta.muaf karday.esi tarha baat chit se wo mangaye.
phir wo chalay gaye.
dusray din jab wo mia biwi aaye to khush the aur muzay tazub tab hua jab mumtaz bahan ne apne pairon ko dikhaya to koi zakhm to kya nishan tak nahi.usnay btaya jab wo rat ko soyi to rat ko kisi ne uska pair khincha wo nind se uth gayi dekha to wo jin abu ja rahe the.aur mera dard aur zakhm gayib the.
aj bhi call se btaya ki ab ek dam thik hai aur ghar me bhi sukoon milta hai.
aur dua karta hu allah unko hamesha khush rakhay.
es kissay me bahot kuch hai,esliye ye meine yahan share kia.
plz,coment karengay to acha lagayga...!

2 comments:

  1. Aoa> mashaallah kya hi acchi bat h,jab koi aisa dilchasp waqiaa runuma ho plz sher karte rahiega bahot kuch sikhne samajhne ko milta h or ilm me ezafa hota h,ek haqiqat batata hun ek aurat name nahi batata k sath jin h uski shadi ho chuki h jab kabi bazar jati h kharidi karne par us bil adakarne ki zarurat nai padti,ek dafa use ek sari achilagi usne shohar se kahan ye lelo shohar ne kahan itne paise nahi h mere pas jab lotkar ae to wo sari kabatme thi,aksar sunatha bimari k rupme asrat hote h magar apne ye waqia bata k sachmuch kamal kardia.allah apko jazae khairde. Wassalam

    ReplyDelete

Note: Only a member of this blog may post a comment.