hamzad k batni taskheer k kai aamal aap sab ko pahocha chuka hun.aaj phir ek amal lay kar hazir huva hu jo bahot aasan hain.aur insha Allah bahot jald kam karta hain.
es tareeqay may jo mushkil hain wo khud ka ism e aazam maloom karna hain.agar aap amaliyat ki maloomat rakhtay hain to aapkay liye aasan hain.
agar ism e aazam mujsay maloom karna hain to koi hadiya hamaray mission ko pesh karna lazmi hoga.
TAREEQA e Amal yun hain ki aapko apnay nam k aadad qamry hasil karna hain.surname ya khandani pehchan ka koi lafz nahi layna hain.jaisay khan bloch aiwan meer aurato may baanu beigum etc nahi layna hain aur jo aapka nam hain wo hi likhay walida k nam ko laynay ki zaroorat nahi hain.
jo adad qamry hasil ho uskay barabar asma e elahi may say do chand asma liye jaen jinkay majmua aadad aapkay nam k adad k barabar ho.
ab ye amal aap kisi saad nau chanday din say ya phir kam say kam chand ki 1 say 14 k darmiyan jumua jumerat peer ya itwar ya budh k din say shuru karay.
jo hazrat saat ki maloomat rakhtay hain wo apnay sitaray ki saat may karay to amal mazid asardar ho jaega.
ab aapko rozana asar k bad
100 martba durood e pak
70 martba astagfar karay
10 martba surah e qadr parhay.
rat ko bad namaz e isha apnay jo nam hasil kiye hain wo parhna hain jiska tareeqa yun hain ki pahlay apna nam Nida e Ya k sath lay aur phir ism e aazam ka wasta diya jaen.parhnay ki tadad aapkay khud k aadad k barabar hogi.
jaisay kisi ka nam Islam اسلام hain.aadad 132 hotay hain koi ek nam es adad ka nahi hain to do asma e elahi liya
یا اللہ یا وکیل
to Islam yun 132 martba yun parhaega.
Ya Islam Bihaqqi Ya Allah Ya Wakeel
parhtay waqt badni hisar karay aur dil may hamzad ki batni taskheer ka taswoor karay.amal bawuzu parha karay.amal ki muddat 41 din hain.
41 din bad aapko mahsoos hoga ki koi shay aapkay sath hain aur jab bhi kam ho es azimat ko 132 martba parh kar 3 din hukm lagaye kam ho jaega.
41 bad aapko rozana apnay nam k asma ka wird 132 martba kartay rahna hain.aur asar k bad wala amal bhi sath may karay to behtar hain.
jo log namaz k aadi nahi hain wo koshish karay ki namazo ki pabandi karay.taki haqiqi rohaniyat hasil ho aur namaz na parhtay ho wo koshish karay aur amal ko namaz e asr k bad aur magrib say pahlay parhna hain aur dusra asma ka wird isha bad rat ko karna hain.
koi sawal ho to aap mujay mail kar saktay hain
haziraat92@gmail.com
www.facebook.com/amil.samarali
Allah taala sab k liye aasaniya paida karay chain o sukoon ki zindagi ata karay aameen.