Aaj kal har koi mokel ko hasil karna chahta hain aur har koi
es rohani quwat ko hasil kar khud ka bhala chahta hain aur ye chahta hain ki ye
quwat hasil karkay wo badshah ban jaen aur phir usay kisi ki zaroorat nahi aur
uski sab ko zaroorat rahegi.lekin sab kuch aisa nahi hota.jab kisi quwat k
malik bantay hain to zimmedari aur ahtiyat barh jatay hain aur har waqt us
quwat pe ghalib rahnay k liye khud ko es tarha tayyar kartay rahna parhta
hain.aisa bilkul bhi nahi ki insan aisy quwat hasil karkay duniya se beparhwah
ho jaen.balki zimmedariya barh jati hain.lekin log alif layla ki tarha amaliyat
ko samjtay hain kuch amaliyat ko juth samjtay hain to kuch log ye samjtay hain
ki sach me alif layla ki duniya ki manind taswoorati duniya hasil ho
jaegi.lekin aisa bilkul nahi.aisy quwat hasil hotay huvay bhi insan ek sida
sada insan nazar aata hain.har ek ki nigah pahchan nahi sakti aur banda khud ko
zahir nahi kar sakta.lekin ye quwat hasil honay k bad insan apnay aap ko
lachaar majbur nahi samjta agar Allah pe yaqin se wali ki nigah se hasil kiya
hain.kabhi bhatkayga nahi.aur dono jahan k liye bhalayi ka baes banaega.waisay
Aloom to jadu sifly bhi hain jissay waqti taur pe to duniyavi faeda hasil ho
jata hain lekin aakhir waqt aur aakhirat dono tabah barbad aur ibratnak hota
hain.
Amaliyat ek dua ka khas tareeqa hain.aur jismay har harf ism
aayat ya azimat pe mamoor muakkilin se faeda hasil kiya jata hain.waisay to ye
blog aam logo k faeday k liye hain esliye yahan detail se har bat likhnay ki
zaroorat nahi.esliye mukhtsar har ek bat likhta rahta hun.
Amaliyat ki mukammal maloomat tareeqay k sath chahiye to
hamara course join kar saktay hain.aur ye jan saktay hain ki kaisay har ek
mushkil girah ko khola jata hain ya
aanay walay kal ko aasan aur faedaymand
banaya ja sakta hain.
Insan k liye uska ism aazam kitni hasiyat rakhta hain wo bhi
aap course se jan saktay hain ek nahi karib 9 tareeqay se ism e aazam ka
intkhab sikhaya jata hain aur jismay bamuakkil bhi hain aur taskheer arwah bhi
ism e aazam se hain.
Ye jo tareeqa hain wo sahal hain aur bekhatar bhi hain.lekin
bahot hi asardar hain.agar aap esmay kamyabi hasil karlay to meray jaisay es
maidan k adhuray amil ka dar kabhi bhi khat khatanay ki naubat na aaegi.apna
mas’ala khud sulja paengay.mainay bhi aisay chotay amal se shuru kiya
tha.faizan e murshid hota gaya aagay barhta gaya .
Aap ko bhi Allah sarkar Gaus e aazam k tufayl kamyabi ata
karay aameen.
*copy paste amilin zaroor copy karaengay…..!lekin ab aap
samajdar hain.
ye amal mokel se khwab me jankari hasil karnay k liye hain.
mera aajmaya hain aur inshallah koi esmay nakamyab nahi
rahta kyu k amal bahaot hi aasan hain.
en huroof ko ek saday kagaz pe esi tarha likh lay kisi bhi
siahi se aur fir har ek ko kaichy se kaat le par khyal rakhay ki har hurof
tarteeb se ek k upar ek es tarha rakhtay jaen,yani pahlay alif kaatay fir daal
ko kaat kar alif k upar rakhlay phir choti he ko kaat kar daal k upr rakhay esi
tarteeb se 28 huroof kaat kar ek k upar ek rakhlay ,esay lekar kisi bahtay pani
me lejaen aur pani me chhor de.ab dekhay ki enmay se kaunsa harf bahta hua sab
se aagay nikalta hain? jo aagay nikal jaen
usay utha le aur dekhay ki kaun sa harf hain?maslan bahata hua harf jo aagay
nikla wo LAAM hain.to usay malfoozi karlay yani jisay boltay hain waisay
likhay....
LAAM لام ab eskay aagay mokel
ka kalma aaeelu lagade,to mokel banayga...
لامائيلُ LAMAAEELU.
bas yehi aapka madagar mokel hain.
esay raat ko sotay waqt adad k mutbiq parhay aur parhtay
waqt apnay maqsad ka khyal dil me rakhay aur aakhir me zuban se kah de ki ye
lamaaeelu mujay falan baat ki ya marz ka sabab bataon.
agar pahlay din kamyabi na ho to 2ri raat me aur zarooratan
3ri raat amal kiya jaen.inshallah jawab mil jaega.
**Jo aadad nikal nahi saktay wo es amal ko na karay kiyu k har
ek k liye ye amal nahi.