Meray dost bar bar haziraat
khud dekhnay k aamal likhnay ko mails kar rahay hain.haziraat khud dekhna koi
barhi bat nahi mahnat hain aur chilla kashi hain.lekin aisay amal main yahan
nahi likhta aur lekin meray course me main
sikhata hun.
Yahan aap sab k liye behad
aasan tareeqa haziraat arwah ka pesh kar raha hun jissay har koi bagair kisi
chillay k zakwat k essay faeda hasil kar sakta hain.
Ye haziraat bilkul waisy hain
jaisy mainay ek post 2012 me hazirat rooh se part 1,2 me likha hain jiski link
ye hain….
usmay aapko ek
stove k zariye tareeqa haziraat ka bataya tha.
Esmay bhi ek
tareeqa bata raha hun aur essay aap aasani se haziraat kar saktay hain aur
aapkay sawalon k jawab bhi hasil kar saktay hain.
Kuch din pahlay
mainay eska tajorba kiya main aur meri beti dono ne es haziraat ko kiya.meri
beti ne pucha ki usay kitnay percentage milaengay[meri beti 5th me
hain],jawab diya gaya
ki 85%.
1 may ko meri beti
ka result tha aur main khud laynay gaya
to result tha 85.78 % .
Aur kuch aur sawal
kiya tha jiskay jawab me abhi der hain.khair mujay laga ki esay aapsay share
karna chahiye taaki aap bhi essay faeda hasil kar sakay aur apna tajorba karay.
TAREEQA eska ek
dam aasan hain.ek drawing papper pe jaisay mainay image me naqsh banaya hain
aisa naqsh bana liya jaen aur ya kisi se banwa liya jaen.ab ye tayyar ho jaen
to aap haziraat k liye tayyar hain.jab hazirat karni ho to es papper pe jispay
apnay naqsh tayyar kiya hain uspay ussay thoda barha kanch yani glass rakha
jaen agar aapkay pas koi aisa table hain jispay barha glass rakha gaya hain to
us table k glass k nichay hi rakhlay.ab ek rupay ka coin lay ya phir pani k
bottle ka ek dhakkan lay lay.
Do insan chahiye
es haziraat k liye.aur pahlay se tay karlay ki hazir honay wali rooh se sawal
kaun puchhaega?.ab agarbatti jalayi jaen aur wo do log jo es haziraat me hissa
lay rahay hain wo apnay sidhay hath ki kalmay ki ungli[index finger] halkay se
coin pe ya dhakkkan pe jo bhi aap estemal kar rahay hain,uspay rakh de aur dono
me se koi ek ya wahan maujdud me se koi bhi mard aurat 1-1 martba durood e pak
aur 3 martba es azimat ko parhay.aur uskay bad hukm lagaye ki koi bhi nek rooh
yahan ho wo hazir ho chand bar aisay hukm laganay se coin sarkna shuru ho jaega
aur ya to jahan mainay Ha ھاں
likha hian wahan chala jaega ya phir Aaagaz آغاز likha hain wahan sarakta huva chala
jaega.esmay jo dono medium hain usay aisa lagaega ki samnay jo uska sathi
jisnay ungli coin pe rakhi hain wo dhakka de raha hain coin ko aur samnay walay
medium ko ye maloom hota hain ki uska sathi khinch raha hain.
Jab aapko lagay ki
coin sarakta huva kisi khanay me chala gaya
hain.to ap uska hazir honay k liye shukriya ada karay aur phir unsay sawal
jawab k liye ijazat mangay.
*har sawal k bad
coin ko dono medium bagair ungli ko coin se uthaye huvay sarka kar aagaz k
daeray me lay jaaya karay.
Jab ijazat de di jaen yani khana Ha me coin ko le jaaya jaen.to aap me se jo
sawal k liye tay huva hain wo sawal puchay.
Sawal aisy puchay
ki ha ya na me reply milay.taaki aapko jaldi jaldi reply milay.kuch tajorba k
bad ap ha ya na se hat kar bhi sawal puch saktay hain.
Jo bhi jiska sawal
ho wo khud uska jawab note karlay.
Aap hazir honay
wali rooh se uska naam puch saktay hain.wo jinn hain ya digar arwah hain wo bhi
puch saktay hain wo aapko jawab dengay.
Jab aap haziraat khatm
karna chahay to dubara uska hazir honay k liye shukriya ada karay aur usay
janay k liye ijazat de de.jab aap ijazat dengay to coin sarkta huva alwida k
daeray me chala jata hain.agar aisa na ho to aap dono medium khud coin ko us
daeray me khinch kar lay jaen uskay bad hi hazirat ko khatm karay.
Bagair hazir rooh
ko ijazat diye mahfil ko khatm na karay.aur bich me medium khyal rakhay ki coin
se wo hath na hata lay.
Es haziraat me koi
majaak na kiya jaen aur arwah jissay naraz ho
aisay sawalaat na pucha jaen.
Main yakin se to
nahi kah sakta ki jo bhi sawal ko jawab diye jaengay wo durust hi hongay.lekin
jab aap tajorba karaengay to aap khud samj jaengay.
Asebi mariz ki
maujudgi me ya aisy aasebi jagaho pe haziraat
ka tajorba na karay.es haziraat ko aap ouija bord na samjay jo sirf time pass
ka ek tool hain.lekin ye haziraat sahih me rooh ko hazir kar sakti hain aur
ummid hain ki nek hi rooh hi aaegi kyu k naqsh se ki ja rahi hain wo bahot
qawee hain aur ye tareeqa mainay khud banaya hain taki koi barha nuqsan na ho
kisi ko.
Chori ya khoon k
mamlat na dekhay jaen.
Aur medium do hi
rahay.akelay hargiz na karay. Aur mahfil k khatm honay k bad naqsh ko sambhal
kar hifazat se rakhlay.agar apko lagay ki ye aapkay liye haziraat mufid hain to
aap es naqsh ko achay se frame karwa lay kyu ki glass lagwanay se coin aasani
se sarkta hain.dusra esko aap chand ki 14 vi rat ko khulay aasman k talay chand
k samnay rakh de puri rat aur pas me kuch gulab k phool aur agarbatti jala kar
rakh de aur ahtiyatan subah tuloo aftab[sunrising] se pahlay har haal me lay
lay.aur jab kaan na layna ho to kisi box me rakh de ya kaalay kapday me
rakhlay.aur direct sunlight se bachaya jaen.jo jo ap recharge karaenay aapko ye
ziada powerful nazar aaega aur arwah bhi jald hazir huva karaegi.
Hazirat k liyeparhnay ki azimat ye hain...
بسم اللہ الرحمن الرحیم اقسمتُ علیکم یا معشر الجن والارواح اُحضروا اُحضروا اُحضروا بحق حضرت سلیمان بن داؤد علیہ السلام
Bismillah hir rahman nir raheem,Aqsamtu alaykum Ya Maashral jinni wal arwahi Uhduru Uhduru Uhduru Bihaqqi Hazrat Sulayman bin Dawood alayhis salam.
Hazirat k liyeparhnay ki azimat ye hain...
بسم اللہ الرحمن الرحیم اقسمتُ علیکم یا معشر الجن والارواح اُحضروا اُحضروا اُحضروا بحق حضرت سلیمان بن داؤد علیہ السلام
Bismillah hir rahman nir raheem,Aqsamtu alaykum Ya Maashral jinni wal arwahi Uhduru Uhduru Uhduru Bihaqqi Hazrat Sulayman bin Dawood alayhis salam.
*medium ko chahiye
ki apna hisar karlay,zaroori to nahi lekin ahtiyatan karlaena chahiye.
*jo paper pe naqsh
bana jaen usmay jo darmiyan me huroof likhay aur
numbers bhi likhay hain uskay darmiyan kuch fasla rakha jaen
taaki coin unpay aaen to koi harf dab na jaen.
#ltija….
Meri post ki link
share karay chori karkay puri post nahi…!