Saturday, November 7, 2015

BAGAIR AMIL KI MADAD ASEB KA HAZIRAAT SE ELAJ:

jab kisi ghar me kisi ko aseb bala jadu ka asar ho 
jata hain to achay bhalay log us mariz k elaj me tabah w barbad ho jatay hain.kabhi es jagah ya kabhi us jagah to kabhi ye amil to kabhi wo amil.aur enhi chakkaron me waqt w rupay ki barbadi hoti rahti hain koi murga utarta hain to koi bakra aur koi aisa sadqa batata hain jisay sun kar mariz k jo waali hain wo hi dang rah jatay  hain aur dar bhi jatay hain aur kah detay hain ki Baba aap hi ye sab kardo ham to ye nahi kar saktay aap jo chahay wo raqam hamsay lelo.bas,Jhali Babaon ki nikal padti hain.phir kaisa sadqa kaisa utara? wo to khud hashr me pata chalaega.
Sab se Pahlay to Rabbul aalmin ki bargah me iltija hain ki sab ko aisay Babaon k chakkar se mahfooz rakhay.

yahan main ek tareeqa likh raha hun jissay har koi apnay ghar baithay apnay family member agar aisa koi mariz hain to uska elaj kar saktay hain.aur aseb jadu se nijat hasil kar saktay hain.





TAREEQA ye hain ki jo image me mainay 3 naqoosh diye hain wo teen naqoosh banaye jaen ab zafran w arq gulab se likhay ya surakh zel pen se likhlay ye aapki marzi pe hain.

jis naqsh pe mainay (1) likha hain wo thoday barhay papper pe likhay jaisay A4 size pe.naqsh barha likhnay ki zaroorat to nahi bas jis kagaz pe likhay wo barha ho lekin itna chota bhi na ho ki kagaz k ek chautahyi me bhi na aaen.

ab jis naqsh pe mainay (2) likha hain usay aap kisi plain china plate pe likhay ya phir kagaz pe likhlay.

aur tisra jo naqsh hain jispay mainay (3) likha hain usay bhi kisi kagaz pe likhlay.

ye sab kam jumerat ko karna hain koi urooj w zawal ki qaid nahi hain.aur asad zaroorat ho to kisi bhi din karlay jumerat ka intzar karnay ki bhi zaroorat nahi hain.

ab ek naya chirag mitti ka lay chand phool khushbudar lay ya ek kajra ho to bhi thik hain.aur kuch mithi shay bhi rakhlay jaisay batashay ya barfi jo bhi chahay rakhlay.
ek choti matki rakhlay.

ab asr w magrib k darmiyan ye amal karna hain aur jaisay mainay kaha ki zarorat hoto kisi bhi waqt kar saktay hain.
pak saaf jagah ka intkhab karay aur matki ko ulta rakh kar uspay miiti ka charag rakhay aur charag me khushbudar tel daal kar jo (3)no. ka naqsh hain usay mod kar fatila bana kar uspar ruyee paak[nayi] lapayt kar blue dhaga lapaytlay.aur charag me rakh de sirf ruyee ka thoda kanara hi bahir nikalay taaki jalaya jaen aur charag roshan ho.
matki k pas ek thali me mithayi aur phool rakh day.aur haziraat shuru karnay se pahlay panjtan pak aur sarkar Gaus e aazam w muakkilan e naqsh ki nazar karay.chand agarbatti bhi jalayi jaen.

ye sab kam jo karay wo bawuzu ho aur khud par 3 martba aaytul kursi parh kar dam karlay taaki koi parayshani na ho.waisay daray nahi kyu k esmay jo kuch hoga uska zimmedar wo nahi mamla muakilan e fatila aur aseb ka hi rahaega.
ab mariz ko bhi nahla kar pak kapday pahna kar bithaye to behtar hain.agar mariz baith na pata ho to layta de aur phir jo naqsh (1) hain jo ki A4 ki size k papper pe likhna hain wo naqsh ek kinaray se jalaaye aur mariz ko uska dhuva diya jaen.ha, jalana es taraha hain ki us papper ko mod kar ek pipe ki shape me karlay aur ek taraf se jalaya jaen aur dusri janib se jo dhuva niklay wo dhuva mariz k jism me pahochanay ki koshish karay mumkin hoto mariz ka estemal shuda kapda thoda lapaytlay phir jalaye.kuch dhuva nak me bhi jaen.
kai martba aseb hazir ho kar badbadanay lagta hain koi uspay dhyan na de na kuch unsay pucha jaen.aur jab ye naqsh jal jaen to jo plate pe naqsh banaaya tha (2) wo paani se dho kar mariz ko pilaye aur kuch chhitay mariz k munh pe maaray jaen.pahlay se bhi dho kar pani tayyar rakhay.

ab jo chagar me rakha hain wo fatila bismillah bol kar roshan karay.aur mariz ko kahay ki wo loa me dekhta rahay.baithay baithay na dekh paen to laytay laytay bhi dekh sakta hain.
lekin mariz ko charag se dur bithaya jaen kyu k kai martba wo charag ki thokar marnay ki koshish karta hain aur kai martba aseb zabardast ho to dhamaal bhi machata hain esliye kuch fard usay pakadnay k liye bhi ho ye zaroori hain.
aadhay se ek ghanta tak charag k samnay ya charag ki roshni me rakhay.waisay bhi magrib ki azan hotay hi hazirat chalay jaengay.

kai martba mariz ko sab nazaray nazar aaengay ki kaun aseb hain aur muakkil unsay larh rahay hain qaid kar rahay hain.
mumkin hain ki mariz pahlay din hi thik ho jaega.agar zaroorat ho to esi tarha 3 se 11 din ki haziraat rozana kiya karay.
roz b roz faeda hota rahaega.
jab thik ho jaen to jo yahan nichay mainay naqsh diya hain wo likh kar mariz k galay me ya bazu pe bandh diya jaen.

*corners me jo numbers hain wo chaal samjanay k liye hain ki naqsh kis chal se pur hoga asli naqsh me likhna nahi hain.
ye ek aisa tareeqa hain jissay bagair amil ki madad liye koi bhi elaj kar sakta hain.aur agar 11 din k elaj k bad bhi mariz thik na ho to kisi nek amil se rujoo karna chahiye.

hifazat k liye jo bandhna hain wo naqsh ye hain.


#HADIYA:
es naqsh ka aur amal ka hadiya hain usay ada kiye bagair na estemal karay aur wo ye hain ki aap sab se pahlay meray murshid e pak k haq me dua e khair karay aur phir meray haq me....!

Sunday, May 3, 2015

HAZIRAAT e ARWAH KA ANOKHA AMAL:





Meray dost bar bar haziraat khud dekhnay k aamal likhnay ko mails kar rahay hain.haziraat khud dekhna koi barhi bat nahi mahnat hain aur chilla kashi hain.lekin aisay amal main yahan nahi likhta aur lekin  meray course me main sikhata hun.
Yahan aap sab k liye behad aasan tareeqa haziraat arwah ka pesh kar raha hun jissay har koi bagair kisi chillay k zakwat k essay faeda hasil kar sakta hain.
Ye haziraat bilkul waisy hain jaisy mainay ek post 2012 me hazirat rooh se part 1,2 me likha hain jiski link ye hain….

usmay aapko ek stove k zariye tareeqa haziraat ka bataya tha.
Esmay bhi ek tareeqa bata raha hun aur essay aap aasani se haziraat kar saktay hain aur aapkay sawalon k jawab bhi hasil kar saktay hain.
Kuch din pahlay mainay eska tajorba kiya main aur meri beti dono ne es haziraat ko kiya.meri beti ne pucha ki usay kitnay percentage milaengay[meri beti 5th me hain],jawab diya gaya ki 85%.
1 may ko meri beti ka result tha aur main khud laynay gaya to result tha 85.78 % .
Aur kuch aur sawal kiya tha jiskay jawab me abhi der hain.khair mujay laga ki esay aapsay share karna chahiye taaki aap bhi essay faeda hasil kar sakay aur apna tajorba karay.

TAREEQA eska ek dam aasan hain.ek drawing papper pe jaisay mainay image me naqsh banaya hain aisa naqsh bana liya jaen aur ya kisi se banwa liya jaen.ab ye tayyar ho jaen to aap haziraat k liye tayyar hain.jab hazirat karni ho to es papper pe jispay apnay naqsh tayyar kiya hain uspay ussay thoda barha kanch yani glass rakha jaen agar aapkay pas koi aisa table hain jispay barha glass rakha gaya hain to us table k glass k nichay hi rakhlay.ab ek rupay ka coin lay ya phir pani k bottle ka ek dhakkan lay lay.
Do insan chahiye es haziraat k liye.aur pahlay se tay karlay ki hazir honay wali rooh se sawal kaun puchhaega?.ab agarbatti jalayi jaen aur wo do log jo es haziraat me hissa lay rahay hain wo apnay sidhay hath ki kalmay ki ungli[index finger] halkay se coin pe ya dhakkkan pe jo bhi aap estemal kar rahay hain,uspay rakh de aur dono me se koi ek ya wahan maujdud me se koi bhi mard aurat 1-1 martba durood e pak aur 3 martba es azimat ko parhay.aur uskay bad hukm lagaye ki koi bhi nek rooh yahan ho wo hazir ho chand bar aisay hukm laganay se coin sarkna shuru ho jaega aur ya to jahan mainay Ha ھاں
 likha hian wahan chala jaega ya phir Aaagaz آغاز likha hain wahan sarakta huva chala jaega.esmay jo dono medium hain usay aisa lagaega ki samnay jo uska sathi jisnay ungli coin pe rakhi hain wo dhakka de raha hain coin ko aur samnay walay medium ko ye maloom hota hain ki uska sathi khinch raha hain.
Jab aapko lagay ki coin sarakta huva kisi khanay me chala gaya hain.to ap uska hazir honay k liye shukriya ada karay aur phir unsay sawal jawab k liye ijazat mangay.
*har sawal k bad coin ko dono medium bagair ungli ko coin se uthaye huvay sarka kar aagaz k daeray me lay jaaya karay.
Jab ijazat de di jaen yani khana Ha  me coin ko le jaaya jaen.to aap me se jo sawal k liye tay huva hain wo sawal puchay.
Sawal aisy puchay ki ha ya na me reply milay.taaki aapko jaldi jaldi reply milay.kuch tajorba k bad ap ha ya na se hat kar bhi sawal puch saktay hain.
Jo bhi jiska sawal ho wo khud uska jawab note karlay.
Aap hazir honay wali rooh se uska naam puch saktay hain.wo jinn hain ya digar arwah hain wo bhi puch saktay hain wo aapko jawab dengay.
Jab aap haziraat khatm karna chahay to dubara uska hazir honay k liye shukriya ada karay aur usay janay k liye ijazat de de.jab aap ijazat dengay to coin sarkta huva alwida k daeray me chala jata hain.agar aisa na ho to aap dono medium khud coin ko us daeray me khinch kar lay jaen uskay bad hi hazirat ko khatm karay.
Bagair hazir rooh ko ijazat diye mahfil ko khatm na karay.aur bich me medium khyal rakhay ki coin se wo hath na hata lay.
Es haziraat me koi majaak na kiya jaen aur arwah jissay naraz ho aisay sawalaat na pucha jaen.
Main yakin se to nahi kah sakta ki jo bhi sawal ko jawab diye jaengay wo durust hi hongay.lekin jab aap tajorba karaengay to aap khud samj jaengay.
Asebi mariz ki maujudgi me ya aisy aasebi jagaho  pe haziraat ka tajorba na karay.es haziraat ko aap ouija bord na samjay jo sirf time pass ka ek tool hain.lekin ye haziraat sahih me rooh ko hazir kar sakti hain aur ummid hain ki nek hi rooh hi aaegi kyu k naqsh se ki ja rahi hain wo bahot qawee hain aur ye tareeqa mainay khud banaya hain taki koi barha nuqsan na ho kisi ko.
Chori ya khoon k mamlat na dekhay jaen.
Aur medium do hi rahay.akelay hargiz na karay. Aur mahfil k khatm honay k bad naqsh ko sambhal kar hifazat se rakhlay.agar apko lagay ki ye aapkay liye haziraat mufid hain to aap es naqsh ko achay se frame karwa lay kyu ki glass lagwanay se coin aasani se sarkta hain.dusra esko aap chand ki 14 vi rat ko khulay aasman k talay chand k samnay rakh de puri rat aur pas me kuch gulab k phool aur agarbatti jala kar rakh de aur ahtiyatan subah tuloo aftab[sunrising] se pahlay har haal me lay lay.aur jab kaan na layna ho to kisi box me rakh de ya kaalay kapday me rakhlay.aur direct sunlight se bachaya jaen.jo jo ap recharge karaenay aapko ye ziada powerful nazar aaega aur arwah bhi jald hazir huva karaegi.
Hazirat k liyeparhnay ki azimat ye hain...
   بسم اللہ الرحمن الرحیم اقسمتُ علیکم یا معشر الجن والارواح اُحضروا اُحضروا اُحضروا بحق حضرت سلیمان بن داؤد علیہ السلام 
Bismillah hir rahman nir raheem,Aqsamtu alaykum Ya Maashral jinni wal arwahi Uhduru Uhduru Uhduru Bihaqqi Hazrat Sulayman bin Dawood alayhis salam.
 
*medium ko chahiye ki apna hisar karlay,zaroori to nahi lekin ahtiyatan karlaena chahiye.
*jo paper pe naqsh bana jaen usmay jo darmiyan me huroof likhay aur numbers bhi likhay hain uskay darmiyan kuch fasla rakha jaen taaki coin unpay aaen to koi harf dab na jaen.


#ltija….
Meri post ki link share karay chori karkay puri post nahi…!

Monday, April 20, 2015

JINN SE DOSTI KA DUSRA AMAL




Essay pahlay mainay jinn se dosti ka ek amal likha tha jo jinnati darakht pe ya jagah pe karna hota hain.us amal me kai mails aur msg aaen aur aatay rahtay hain aur kai ahbab kamyab bhi huvbay hain aur uskay saboot meray pas maujud hain.lekin usmay sab se mushkil sahih darakht pe amal karna hain.koi khatra nahi hain.aur jinn mushkil shart bhi nahi rakhtay.lekin aisa bhi nahi ki har banda kamyab ho jaen.Allah ki marzi ho wo kamyab hotay hain.kabhi kamyabi k karib aakar nakaam ho jatay hain.aur kabhi kai kisson me aisa huva ki jinn kisi rup hulye me hazir huva aur ijazat mangkar chala gaya.aksar wo kisi se rasta puchta hain kisi maholay ka pata puchta hain aur jo amal kar raha hota hain wo samjta hain ki ye koi aam insan hain aur dhoka kha jata hain aur phir hazri nahi hoti.lekin ye uska sila zaroor detay hain jo usay cigaratte di ho ya aur kuch uska badla zaroor dengay chahay jaldi de ya dair se aur chahay acha jinn ho ya bura ho.
Ab main mera khud ka bhi aazmaya huva aur digar meray doston ko bhi bataya aur usay bhi esmay kamyabi hasil hui hain aur uskay mails msg meray pas maujud hain.jitna hasil hota hain usmay se kuch had tak wo bata detay hain ki samarAli bhai aisa aisa huva hain aur kamyabi hasil hui hain.meray es blog ka maqsad ye hain ki aasan aur bekhatar amal ho.jisay aaj k zamanay me bhi meray readers ba aasani anjam de sakay aur kamyabi hasil ho.lekin kuch chor ki fitrat k malik meray blog se posts churakar logon se dhoka kartay hain aur ijazat vigera k liye paisa mangtay hain.aur tajob ki bat to ye hain ki uskay page ya blog jo bhi ho usmay log bhi aajatay hain hazrat sahib maulana sahib k ilqab se fatafat daryat karnay lagtay hain ki mujay ijazat ata farmaen.aur jaisay khud k bap ki jagir ho aisay jaon tumhay ijazat hain ka farman jari ho jata hain.aur ijazat k talabgar bhi jaisay ijazat se hi sab kuch hasil ho gaya ho aisay dua denay lagtay hain.
Meray amal meray murshid ki janib se aam ijazat hain esliye barbar mujay koi ijazat na mangay.ijazat ka masala aur hain aur aur jo insan apisay mangay ijazat k liye uskay juthay honay me aur koi suboot ki zaroorat nahi.khari aap sab hoshiyar rahay aur agar meray blog se koi meri post chori karkay apnay blog pe laga raha hain to aap hi usay khula karday aur bata diya karay to mujay khushi hogi.
Ab jo amal bata raha hun wo amal ka daromadar hain “NOOR NAAMA” hain aur wo aapko islamic book seller k yahan mil jaega aur aksar auratay esay parhti rahti hain.wo noornaama aap hasil karlay.ab dusri jo chizay es amal k liye chahiye wo ye hain ki chand gulab ya koi bhi khushbudar phool aur agarbattti aur sufaid mithayi ka kam se kam ek piece ho.ek musalla aur ek chadar agar wo bhi sufaid rang ki ho to bahtar hain.
Naye islamic chand 1 se 11 k darmiyan aap esay jumerat jumua itwar ya peer ki rat ko amal shuru kar saktay hain.
En raaton me dair rat amal shuru karay yani 12bje k bad karay to bahtar hain.jis kamray me amal karay wo kamra achay se saaf suthra ho.aur parhayi k waqt aapko koi wahan disturb na karay.
Ab gusal karkay pak libas pahan kar bawuzu musalla pe baithay aur samnay kuch duri pe ek chadar bicha de aur niyyat ye ho ki jo jinn aaenga wo yahan baithay esliye bichata hun.
Uspay bhi itr laga de aur aapkay khud k libas pe bhi itr lagaya ho.ek plate me gulab ya jo bhi phool aap laen hain wo rakhay aur bich me mithayi ka tukda rakhay aur uski niyyat ye ho ki ye mithayi w phool jo jinn aaega uskay liye tohfa hain.aur agarbatti sulga kar 3 martba durood e pak parh kar NoorNaama parhna shuru karay.karib 30 minits lagtay hain.noor naama ko parhnay me aur aahista aur sukoon se parhay.
Hisar karnay ki koi zaroorat nahi aur karna chahay to badni hisar kar saktay hain.jab khatm ho jaen to mithayi w phool wahin chhor day aur plate pe kuch dakkhan rakhna hain to bagair bismillah k bolay rakh de.aur chadar wahin bichhi rakhay.subah mithayi maujud ho to kisi bachay ko de de aur phool pani me bahaday gamlay me rakhday qabr pe daal aaen koi harz nahi.roznana nayi chizay rakhni hain.
Rozana waqt pe shuru kardiya karay.aur ye amal 40 din ka hain amal me koi parhez nahi hain.bas parhtay waqt pak saf rahna bawuzu rahna shart hain.
Kuch din bad jaisay 15 ya 21 ya essay ziada dino bad aisa ho sakta hain ki koi jinn aakar chadar pe baith jaen aur aapka noor nama sunay aur bad me chala jaen.agar samnay na aaen to aapko khwab me aaengay.aur kabhi mithayi bhi gum ho jati hain,jo plate me rakhi hoti hain.ek din wo khud aapsay samnay se bat karaega.tab aap noor nama khatm ho gaya ho to unsay bat chit karay.aksar wo noornama khatm honay k bad hi batchit karaengay.aur aapsay khushi ka izhar karaengay.aap se kuch talab karnay ko kahay to aap usay apna dost bananay ki khwaesh rakhay aur wo kabool karlaega.lekin shart ye hi hogi ki es dosti ko raz rakha jaega.aap unsay dubara mulakat ka puchlay ki kaisay hogi.aksar to der rat ko hi waqt bataengay.
Ye amal mainay kiya tha aur 21 din me kamyabi ho gayi thi.aur barhay achay jinn milay thay.
Rat ko bat hoti thi.aur ek bhai k larhkay ko jo barson se pagal tha thik kiya tha.aur unsay jo bhi mamlat huvay thay wo sab batadiye thay.
Es amal me aisa bhi hota hain ki kai bar chota bacha bhi aata hain.koi jawan hota hain to koi burha hota hain.kai martba khud ki kamzori k baes rubaro na milay to usmay digar quwat paida ho jati hain jaisay kisi ka haal bata dena aur apnay aap kisi k masalay ka elaj batadena.jisay wo khud nahi janta hota hain ki ye aisa ho sakta hain?jaisay ek martba ek aurat aayi thi uskay bachay ko lekar wo bahot rota rahta tha aur khana pina band tha.bahot zid karta tha.main naqsh dena chahta tha to apnay aap nikal gaya ki ek anda laon aur usay kala karlo.aur espay se 7 martba waar kar chaurahay pe rakhaon.us aurat ne aisa kiya to sach me bacha thik ho gaya aur meray pas kabhi aisa koi elaj maujud hi nahi tha jo mainay usay bataya tha.
Ab jinn Noornama ko kyu sunnay aatay hain ye to mujay pata nahi hain lekin es amal me essay kamyabi hoti hain.
Aur jiskay pas pahlay jinn ya koi arwah thi jo nek ho aur kisi wajah se wo rishta toot gaya ho aur wapis hazir na hoti ho wo bhi usay hazir karnay ki niyyat se es amal ko karay,wo dubara wapis hazir hogi aur kaam bhi karaegi.jiska tajorba bhi chand din pahlay ho chuka hain aur agar wo biradar ye post parhay aur nichay coments me tasdiq karday to digar readers ki hosla bulandi ho jaegi.
Ek khas bat mujay jo mila hain wo Ahlay bayt saadat se muhabbat ka rishta aur unki khidmat se mila hain.murshid e pak ki talim hi ye hain ki saadat ki izzat ki jaen chahay chota bacha hi kyu ho.agar aap bhi kuch hasil karna chahtay hain to saddat ki izzat karna sikhlay aur panjtan pak se dili lagaaon rakhay.dono jahan sawar jaengay.
Main to es ummat ki kashti e nooh me sawaar hun aur es ummat k sitaron se rahnumayi hasil kiye ja raha hun.ye beda paar hi lagaega…!
Ya Murshid Almadad…!
 noor nama ki ek page ki image laga raha hun taaki aapko pata chalay....
*AMAL K DAURAN ROSHNI KAM RAKHA KARAY..JAISAY ZERO LAMP JALAYA JAEN.

*AURTON KO ES AMAL KI IJAZAT NAHI HAIN...!

Sunday, February 22, 2015

HAMZAD KI BATNI TASKHEER:

HAMZAD KI BATNI TASKHEER KA EK AUR JAFRI TAREEQA:
waisay hamzad ki batni taskheer k main kai aamal likh chuka hun.aur aap ne shayid aazmaye bhi hongay.jismay se mujay sirf ek Bahan ne apnay achay tajorbat likhay aur dusray ek bhai batni me kamyabi k bad ab aagay barh rahay hain.Gaus e aazam kamyabi ata karay.aameen.
 

ilm jafar me kamyabi k liye waqt ki pabandi aur tadad ko sahih parhna hain.kami beshi amal ko batil kar deta hain.esliye jab aap ye amal karay to khas khyal rakhay ki tadad me zara bhi kami beshi na ho.aur waqt ki bhi pabandi ki jaen.

Qaeda main ba aasaani likh raha hun aap koshish karay.na samj aaen to bar bar parhay.aur bar bar muj se mail ya msg es silsilay me na karay ki mujay mera sitara bataday ya saat kab kaun si hogi ye batadijye,ansar mijaz bata dijye.meray pas itna waqt nahi hota aur aap sab ko main reply nahi kar sakta.aur agar aapko es ilm ko ba qaeda sikhnay ki tamanna hain to hamara Rohani Amliat Course join karlay.



QAEDA ye hain ki aap en asma ko 243 martba 9 din tak tuloo aftab se khud ki sitaray ki saat me yani awwal saat me wird karay aur awwal aakhir 11-11 martba durood e pak parhay.parhtay waqt aap apnay ansar k mutabiq saaya pe ya aaenay me ya paani me ya taswoor se kaam lay.aur niyyat hamzad ki batni taskheer ki karlay.hisar w parhez ki koi zaroorat nahi lekin ahtiyatan hisar karna chahiye.aur aksar bagair parhez k aamal na kaam hotay dekha hain to aapko chahiye k gosht har qism w jima w kachi pyaz lahsoon  ka parhez rakhay.taki mahnat na kaam na ho.


tanhayi me amal parhna hain.aur agar aakhri din koi shay nazar aaen to usay, warna aisay hi kahday ki hamzad mainay teri batni taskheer karli hain main jab bulaon to hazir hona aur meray kaam ko pura karna.
phir rozna 27 martba wird me rakha karay.aur jab koi kaam layna ho to tanhayi me baith kar aankhay band karkay 57 martba asma ka wird karay aur kahay ki hamzad hazir ho hamzad hazir ho hamzad hazir ho.jab badan pe wazan mahsoos ho,[jab hamzad ko bulaye to badan ek dam dhila chhorday] hamzad se kahay ki mera fulan kaam hain esay jald kardo tumhay es asma e pak ka wasta hain.bas phir intzar karay aapka kaam 1 ghantay se 24 ghantay me ho jaega aur agar na ho to dubara hukm de insha allah ab ki bar ho jaega aur agar phir bhi na ho to tisray din phir hukm de.zaroor ho jaega.lekin ye hamzad mamoli kaam karta hain,khabar layna chahay to wo khwab me ya phir kisi bhi zariiye se bata dega.sawal w kaam har haal me jaez hona chahiye.najaez kabhi koi kaam na kiya jaen.warna khud ko nuqsan ho sakta hain.
aur mumkin ho to har jumerat ki raat ya phir kam se kam mahinay me ek bar zaroor kabristan ya kisi tanhayi ki jagah pe kuch mithayi bataur tausa e hamzad rakh aaen.aur bagair mud kar dekhay wapis aajaen.lekin ye tab dena hain jab kam aapkay hamzad kar raha ho.kaam dair se bhi ho sakta hain aur kabhi jaldi bhi ho sakta hain.jaisa kaam hoga utna waqt lag sakta hain.kyu k ye batni taskheer hain.
amal me koi khatra nahi.lekin pak saf w bawuzu halat me hi kiya jaen.amal ki shuruat apnay sitaray ki saat me kiya jaen aur phir muqrrar waqt ki pabandi rakhay.9 din k amal me agar badan pe wazan mahsoos na ho aur koi khwab me bhi basarat na milay to aapko 10ve din se dusra chilla shuru kardena chahiiye.ya phir aglay mah se shuru karay.amal urooj mah se nauchanday din se shuru karay.aur apnay sitaray ki saat me shuru karay.phir muqrrar waqt ki pabandi rakha karay.
jis asma ka wird karna hain wo ye hain.....


 ھَادیٌ مُجِیبٌ زَکِیٌ اللہُ دَیّا نٌ


Haadi'un Mujeebun zaki'un Allahu Dayyanun.
#amal ka tajorba ho chuka hain aur bahot achay nataej hasil huvay hain.


jiska mijaz aatshi ho wo pas e pusht charag jala kar saaye ki gardan pe nazar jama kar amal karay.
Baadi mijaz walay aaenay me naak ki jad me nazar jamakar amal parhay aur amal k khatm k bad 4-5 minits aasman me dekhay
Aabi mijaz walay kisi hauz me talab me naaf tak pani me kharay ho kar pani me aks ko dekhtay huvay amal parhay.ya phir kisi barhay bartan me paani bhar kar apnay chehray ko dekhtay parha karay.
Khaki walay charag ka amal bhi kar saktay hain aur aabi wala bhi.aur aankh band karkay taswoor me apnay aks ko rakh kar bhi parh saktay hain.

amal k shuru karnay se kisi ko darawnay khwab aatay hain to kisi ko acchay.

***Amal ki ijazat tamaam momineen ko meray murshid e pak ki janib se hain koi es silsilay me mail na karay***