Thursday, February 6, 2014

AMAL MUJRRIB KASHF E QABOOR:


Kai Ahbaab k bar bar israar par aur mere tamam muhibbin mere readers k liye aaj ek behad mujrrib Amal kashf e kaboor pesh karnay ki sa'adat hasil kar raha hun.aur inshallah ummid hain essay mere readers ko bahot faaeda hoga aur aisay amal ki pyas kuch had tak  bujaygi.

Ye amal ahl e mazar se mulakaat ka hain aur eskay fawaeed likhna mere bas ki baat nahi kyu k eska amil pe agar ahl e mazar ki nihah e muhabbat parhi to kamil bana detay hain.

amal aasan hain aur koi khatra nahi.ha,agar kisi sharab juvay ya zanakar ne kiya to uski halakat yakini hain.kyu k mujay maloom hain aisay log lalchi hotay hain aur maqsad bhi bura hota hain.ye amal un tamaam ahbaab k liye hain ki jo mujay mail msg karkay amal mangtay hain aur maqsad batatay hain ki main khidmat e khalq karna chahta hun.

amal se pahlay kisi bhi bar-haqq silsilay me bayt hona zaroori hain warna kamyab nahi hoga.aisay tamaam afraad ko ijazat aam hain jo kisi bhi silsilay me bayt ho chukay hain.ab meri makhsoos ijazat laynay ki koi zaroorat nahi.

aur ek baat yahan likh dun ki mere kisi bhi amal ki ijazat ki zaroorat nahi jo.mere blog...

www.rohanihaziraat.blogspot.com 

www.rohaniamliat.blogspot.com

pe likhay hain.yahan amal likhna hi mere murshid ki janib se ijazat hain.ha,agar kisi ne kisi jagah bagair ijazat COPY/PASTE kiya hain wahan k zimmedar ham nahi na hamari ijazat uskay liye hain.

ab amal ki tarkeeb likh raha hun...

chand dikhnay k 1 se 10 tareekh k darmiyan din raat me es amal ki ibtida karni hain.khyal ye rahay ki Qamar dar Aqrab ka din na ho.aur amal waqt e mukarrar parh parha karay.chand minat ki kami beshi se koi fark nahi.

amal k dauran sufaid libas pahanna hain.ye sirf amal k parhtay waqt pahanna hain.baki awqat me aap kisi bhi rang k pahnay koi harz nahi aur agar khuda taufiq de to har waqt sufaid libas hi pahna karay ki sunnat hain.

sub'ah ya raat ko aap kisi mas'hoor mazar sharif pe jayen,jo aksar karamat dikhatay ho ya logo ki hajatay puri hoti ho.wahan  sufaid mithayi aapki marzi k mutabiq chand gulab k phool itr gulab ya mogra aur agarbatti lekar jaen.janay se pahlay rozana gusl karlay aur bawuzu jaya karay.

mazar k andar dakhil honay se pahlay Assalamualaykum ya ahalal mazar kahay aur phir kahay ki sarkar main Gaus e aazam ka gulam aaya hun khali hath na lautana.

phir mazar me dakhil ho aur itr ko mazar pe chhirak de aur agarbatti jalaye aur phool mazar k sinay pe rakhay.aur mithayi pe fateha parh kar panjtan pak w sarkar Gaus e aazam ko nazr karnay k b,ad sahib e mazar ko nazr karay.

ab apni pusht Qiblay ki taraf rahay aur aapka chehra sahib e mazar k sinay ki taraf rahay aisay baith jaen aur 11 bar aaytul kursi parh kar apnay badan par phonk lay.

aur rozana 10 din  11363 martba aur 11 ve din 11370 martba ye azimat parhay....

الھی کر مدد اللہ الصمد 

ilahi Kar Madad Allahus Samad

aur parhtay waqt tawoor sahib e mazar ka rakhay aur niyyat sahib e mazar se mulakat ki honi chahiye.

11ve din mazar chak ho jaega aur ahl e mazar samnay hazir hongay aur aapsay sabb puchhaengay.aap ghabraye bagair adab se kharay ho jaen aur 3 bar salaam karay.aur kahay ki huzur main aapki imdad chahta hun aur wo kabool karaengay par shart rakhaengay.aur aapko uska paband har hal me rahna hain.aur ye bhi puchhlay ki mujay koi madad ki zaroorat ho to kaisay hasil karu? wo tareeqa bataengay.bilkul daray bagair bat chit karay.koi khatra nahi hain.

ha,bad parhezi na karay.aur shariyat k daeray me madad ya maswarah len.aksar ek khadim dekar rukhsat ho jatay hain.

yad rakhna ye amal taskheer k liye nahi.bhul se bhi ye na samj lena warna barha nuqsan uthaongay.

aur jo mazar ko nahi mantay wo amal karnay ka irada tak na karay.

ye amal aazmuda hain aur hamaray murshid ne hamaray mureed bhai janab A.basir sahib se bhi karwaya tha aur wo kamyab bhi ho gaye the.

shart ye thi ki jab bhi wo buzurg kisi k urs me talab karay tab A.basir sahib ko jana tha.aur ek saal tak wo jatay rahay aur ek bar nahi ja paaen to buzurg ne khwab me kah diya ki ab mera aur tumhara ye talooq khatm.bas phir kabhi usay nazar nahi aaen.aur A.basir sahib mere murshid k pas aakar ronay lagay the.kyu k usnay kai muqdas hastiyon ki mulakat ki thi us buzorg k zariye.

amal k dauran koi khwab ya bedari me amal band karnay  liye kahay ya dhamkaye to band nahi karna hain aur ye aapka amal sahih honay ki nishani bhi hain.

 *jo ashya likhi hai wo rozana le jani hain aur mithayi ko fateha k bad bachho ko bantday.aur rozana kuch khairat sahib e mazar k naam se garibo ko diya karay taki jald kamyabi hasil ho...!

*PARHEZ:

gosht har qism,anda machhli vigera aur hambistari aur badboodar ashya jaisay lahsoon pyaz muli ka istemal parhayi k dauran nahi kar saktay.

*Gaus e aazam radiallahu anhu Tamam pak dilo ko kamyab karay.aameen.