Rohani Amliyat Course: Jo Hazraat Rohani Amliyat Course Karna Chahtay Hain Wo Apni DeTail Name Birthdate City Country mail id aur facebook id send karay. Paid course hain. Course me Rohaniyat, Sharaeet w qawaneen e amaliyat w Chilla zakwat,ilm ul huroof,ilmul aadad ilmul najoom,ilmul jafar , ilmul asma,haziraat,taskheer,tashkhees w elaj amraz sikhaya jata hain. haziraat92@gmail.com facebook.com/amil.samarali
Wednesday, October 17, 2012
PARIZAD SE KHWAB ME MULAKAT
essay pahlay meine
JIN SE KHWAB ME MULAKAT
HAMZAD SE MASHWARA
ye do amal likhay aur kafi dosto ne pasand farmaya aur kai ahbab ne pasand farmaya kai ahbab ne amli taur par aazmaya.par kuch ne 2 ya 3 din kar k chhor diya aur muzsay kuch muzrrib amal likhnay k liye mails kartay rahay.
ye amal muzay mere ustad mohtram ne jo ek amliat ki zakheem kitatabnuma dairy di ti usmay se meine naqal kar ke aazma kar yahan bataaya tha.
aapko mahnat kara kar muzay kya hasil?
amliat koi khel nahi ki dil bahlanay k liye kar lia achha lagaa to aur kia nahi jamaa to chhor dia.
es raah me kai logon ne apni zindgi ek amal k pichhay barbad kar di hai.
hamaray naye dost hai maolana imtiyaz sahab jisnay apni zindgi k 20 saal taskheer hamzad me sarf kar diye hai aur shadi tak nahi ki hai.
rupay,waqt aur umr ka ek behad kimmati hissa gawaa diya hai,
par unki lagan aur sabr ko salam karna chahiye.
ha,wo ek achhay amil bhi hai.
kisi bhi amal ko lagatar karna chahiye jab tak kamyabi n milay.zamin se pani nikaalna hai aur batanay walay ne bataa dia ki es jagah pani niklayga aur aap ne kuch feet khod kar soch lia ki ab yahan pani niklayga aur dusri jagah khodnay lagay.phir uss jagah bhi aisa kia to kya kabhi paani hasil kar sakayge?
amliat me bhi aap aksar aisa kartay hai.kuch din amal kia phir tabdil aur kuch aur amal kia aur aisa silsila chalta rahta hai,najtiza?naakami aur amliat se aitbar ka uthjana,budjham ho jana.
aksar dosto k mails me muzay ye likhtay hai ki jin,pari,hamzad ki taskheer ka amal wazeefa bataaye.par mein manaa kar detaa hu aur ye bhi koi aasan nahi.aur aaj chhotay amal me nakamyab rahnay walay aisy amal me kaisy kamyab hongay?
khair,sabr aur yakin kamil ye do chizen apnay sath rakh kar hi amal k maidan me kadam rakhyega.
ab asal b,at:
ye amal parizad ko khwab me hazir kar ke unsay apni mushkilat ka hal talab karna hai.ye haziraat bzariye khwab ka amal hai.
baroz jumua ek naya chhota aaina (mirror) kharidlay aur b,ad e jumua sa,at e zohra me nichay diya tilism e huroof arq e gulaab aur zafran se aur anaar ki qalam se likhay.aur usay b,ad me loban,gogal ka bakhor de.aaina chhupa kar rakhay aur tilism likhnay k b,ad dhoop uss par parhnay aur kisi aur ki nazar se bacha rakhay.
badni hisar karlay.galay se tawez etc nikal de.aur tanha kamray me soye.aur bakhor kare
اااه ااء اوااوااوا٦ ا ٩ ٩ اا
ye tilism ainay ki pusht par likhay aur sarhanay rakhle
Subscribe to:
Posts (Atom)