Wednesday, August 29, 2012

BEBARKATI DOOR KARNAY KA AMAL

Aaj kal har ghar me ye fariyad rahti hain ki ghar me barkat nahi rahti.
Bebarkati k kai sabb hain aur jisay buzurgonay apni kutub me bhi likha hain.
aur ek be barkati ka sabb bagair bismillah sharif k khana shuro karna hain aur khanay k b'ad razzaq ka shukr n adad karna.
yahan mera maqshad jo hamaray ghar me khana pakta hain aur jo chizay hoti hain jaise ghenhoo chawal,aata ,teil etc chizon me barkat paida karnay ka muj garib ka aazmaaya hua amal pesh karna hain.
Ajkal amliyat wazaeef se dil chashpi rakhnay walay hazraat ko koi sidaasaadaa amal bataye to ussay bharosha nahi aataa aur karnay me dilchashpi nahi dikhatay.jab ki sab jantay hai ki ek ek harf tasir rakhta hain.
Mere murshid ka to tariqa hi aasaani se talib ko apni manzil e maqshood tak pahochana hain.
Wo to amliyat me sakhti se uss k khilaf hain jismay talib e amliyat ko kuway me latak kar parhna ya jangle me wiraanay me jaakar ya shadid taklifay bardast karnaywalay amal bataadiye jatay hain jab ki ye shartay Amil ne apni khudsakhta banayi hui hoti hain aur amal me zarori nahi hoti,yani sidhay saaday amal ko paichida kardatay hain.taki khud hi amil kamil ya karamaati baba banay rahay.
galti kiski manay wo amil ki ya tedhay medhay amal ko pasand karnaywale talib ki?
Ab amal yahan likhta hoo.ye uske liye hain jo Allah k kalaam ki taqat w asar ko taslim kartay hain balki ek ek hurof ko moassir mantay hain.

#AMAL:
Jumerat ka din guzar kar jo jumua ki raat aaye uss raat me ba-wuzu khanay pinay ki chizon par 3-3 martba durood sharif aur
101 martba
بسم اللہ الرحمن الرحیم

BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.

parhay aur khanay peenay me jo estemal hoti hain tamami chiz chawal ghehu tel aata sabzi masalay vigera pe dam karday,phoonk day.

5 jumua bilanagah aisa hi karay.

es amal se rizq me khairobarkat hogi,inshallah 10 admiyon ka khana 20 ke liye kaafi hoga.aur kabhi khanay me killat w tangi mahsoos n hogi.
mumkin ho to 3 chillay dohra le taki poora poora faiz hasil ho...!
amal k liye n koi khanay pinay ki parhaiz hain n uroz zawal ki qaid bas zarorat hain to yakin ki.
ye amal behtar hain ussay  ki kisi amil k dar par bebarkati k liye dastak de.

Sunday, August 26, 2012

JIN KI BETI PART 3

yun ami abu do alag alag rahnay lagay.ek dusray se shadid nafrat kartay hai.
aur meri tabiat aksar kharab rahnay lagi aur ghar me tangi rahnay lagi.
aur wo kabhi milnay n aaye n khwab me aatay.meri arz bhi nahi suntay.
aakhir hamnay hamaray ek ristaydar jo ek amil the unsay elaj karwaya aur usnay bola ki ye jin abu ki wajah se taklif hai.usnay mere khawind ko kuch parhnay ko dia aur btaya ki ensay wo jal jaengay.meine usay manaa kia par usnay kaha ki dusra rasta nahi warna tumhari jan ko khatra hai.meri lakh manaa karnaypar bhi mere khawind ne wo parhna shuro kia.jissay ghar me jalnay ki boo aanay lagi.phir rat ko so kar jab ham uthay to mere pair me jalan mehsos honay lagi aur folay parh gaye.aisy hi din b din meri halat kharab honay lagi aur mere pairon me zakhm hogaye.meri halat ko dekhtay mere khawind ne wo parhayi chhor di.par mera zakhm kharab hogya aur usme se kiday niklnay lagay.dawaee to kuch asar nahi btati thi.hamnay phir yaha aakar elaj ka socha aur aagaye.
in sort,
meine wo taqtwar jin se jhad-phonk ki bajae,unsay pyar mahobat se kam lia.
meine mumtaz bahan ko ankhen bandh karkay bithaya aur jin ko pyar se yad karnay ko kaha.kuch dair b,ad wo hajir hua aur muzpar gusay ho kar dhamkia denay lagay ki muzay kisi ne ab tak nahi bulaya.mene pyar se baat ki aur aakhir me usay samjaya ki aapne esay beti maana hai aur aulad chahe kaisy bhi galti karay bap estarha saja nahi deta.muaf karday.esi tarha baat chit se wo mangaye.
phir wo chalay gaye.
dusray din jab wo mia biwi aaye to khush the aur muzay tazub tab hua jab mumtaz bahan ne apne pairon ko dikhaya to koi zakhm to kya nishan tak nahi.usnay btaya jab wo rat ko soyi to rat ko kisi ne uska pair khincha wo nind se uth gayi dekha to wo jin abu ja rahe the.aur mera dard aur zakhm gayib the.
aj bhi call se btaya ki ab ek dam thik hai aur ghar me bhi sukoon milta hai.
aur dua karta hu allah unko hamesha khush rakhay.
es kissay me bahot kuch hai,esliye ye meine yahan share kia.
plz,coment karengay to acha lagayga...!

JIN KI BETI PART 2

Mere abu ko ab order milnay kam hogaye aur ghar me tangi mehsoos honay lagi.ekdin meray abu 2 mazdoor lekar aaye aur bolay ki ye neem ko kant do.meine kai wasta dekar manaya par wo to barbad hi hona chahtay the to n manay aur bolay ki agar sabh me jin hai to me ye ped zaror katunga aur usay nuqshan pahuchaonga.usdin 2 mazdor aur mere abu ne wo ped kant dia aur kisi ko kuch nuqshan n hua.aur jo jad thi usmay acid dal di.rat ko wo jin abu aaye aur muzay bolay ki aaz se tera mera rishta khatm jao kahin door chalay jao warna ek bhi zinda n bachogay.me uskay pas ronay lagi par wo n manay aur bolay tum insan hotay hi khudgarz ho.tumnay mere aashiana mitaya me tumhara khandan mitaa dunga.meine dekha ki kuch dair ba,ad wo kamray me unke kai ladkay aur uski biwi namudar huvay aur unki ankhay surkh thi.aur bahot gussay me the.meine apni maa ko kahan ki jaldi hi ye ghar chhorday to wo boli me kisi se nahi darti n ye ghar chhorungi.
uss raat muzay nind n aayi aur khauf malum hota tha.jab 4 bjay to meri maa ki chikh sunai di.me aur mera chota bhai daud kar gaye to meri maa mere abu ki goad md behosh parhi thi.ham bhai bahan chillanay lagay aur mene abu ko kahan ki aap muafi manglay aur ye ghar se hamay dusray ghar le jae.kuch dair b,ad maa hosh me aayi aur boli k ham jaldi hi ye ghar chhor dengay aur kamray se bahar jakar apna joota muh me lekar corner walay kamray me gayi aur ro-ro kar muafi talab ki aur dopahar ko hi hamnay saara samaan apna bekri k ek kamray daldia aur wahi shift ho gaye.par abu abhi ussay uss makan se nikalnay pe aday the.
ab dhandha kuch thik chal raha tha.wo jin abu kabhi milnay aanay lagay the.par khas faeda n hota.
ek din mera rishta aaya aur baat pakki hogayi.to jin abu phir naraz ho gaye aur bolay k tum shadi se inkar karday.tumhay meri nazar k samnay rahna hai aur tu door ja rahi hai mene kahan aj nahi to kal meri shadi to honi hi hai aur rishta bhi achha hai.
wo bolay tu bhi matlab parast hai.ja ab kabhi nahi aaunga.aur agar teri shadi karke tere ami abu ne tumhay muzsay juda kia me bhi kabhi usay sath nahi rahnay dunga. phir aksar mere ami abu k jagday honay lagay aur aise hi meri shadi hogay.shadi k b,ad kuch hi dino me mere ami abu ka jagda hua aur mere abu ne gusay me talaq de di.aur tab se abu dusray sahar chalay gaye aur ami alag.aur chota bhai apne sasur k ghar rahnay chala gaya.aj mere abu dusray ki bekri me nokri karke gujaraa kartay hai aur ami ghar ghar ka kaam karke.
PART 3

*JIN KI BETI* part 1



sab se pahle ye bataadu ki ye koi amal nahi likh raha ki JIN KI BETI ki taskhir kaise karna hai.?
par es jumerat ko mere marizo k dekhnay k waqt mere pas mia-biwi aaye the ye unki kahaani hai.
nam farzi hai,
mere pas aayi bahan ka nam tha mumtaz aur uskay husband ka nam tha ashfaqbhai.mumtaz bahan k dono pairon k panjay me zakhm the aur patiya bandhi hui thi.
usne btaya ki kitni dawaee karwai par kuch faeda nahi ho raha hai.mene undono ko pucha ki kya wo mere saaray marizon ko dekhlu tabtak intzar kar saktay hai?usnay ha kahi aur ek taraf baith gaye.
akhir me jab unki bari aayi tab kamray me ham 5 admi mauzud the.meine ashfaqbhai se pucha ki ye mamla puraana hai aur dawaeewala nahi par dua tawiz wala hai.
usnay bola ji,ha ye sahih hai aur esi liye aapkay pas aaye hai.
meine kaha ki apki biwi pe ye asrat shadi se pahle balki wo nabalig thi tabsay hai.wo bolay sahih hai par pareshani to 2 saal se shuro hui hai.
meine bola ye jin momin hai aur bahot raees hai.apki biwi ko apni beti banaee thi.aur ye jo taklif hai unka sabb bhi ye jin hai.
tab mumtazbahan bolay ki aap sahih kah rahay hai.wo muzay beti mantay the aur jab me ghar me akeli hoti to wo muzay milnay aatay aur mithai wigaira detay.aur sonay k julay me julatay the.aur boltay ki mere 11 ladkay hai ladki ek bhi nai hai tu meri beti hai.aur muzay dhero rupay detay to me inkar karti to wo mere abu jo bekari ka karobar kartay the unko gaibana madad kartay the.aur saalbhar me to hamay malamal kardia.
phir ham jis ghar me kiraye pe rahtay the wo kharid lia.ab mere abu ne usay girakar nayaa banaana shuro kardia.
to wo jin abu ne muzay bola ki tere abu ko bolo ki jo corner wala chhota kamra hai wo n giraye aur sehan me jo neem ka ped hai wo n kantay.
mene abu ko btaya par abu n manay aur jab wo kamra giranay lagay to ek mazdoor buri tarha ghayal hogaya aur mere abu k hath me bhi chot aayi.meine abu ko samjaya par wo jidy the so n maanay.dusray din subah ham uthay to hamaray 3 bakray maray parhay the.par abu ki aankh n khuli.aur ek bhai jo bekri ka kaam sambhal rahay the to wo bhi jal gaye aur hospital jaa pahonchay.phir mere abu ne ek amil ko bulaya aur mera aur hamaray ghar ka elaaj karwaya.par dauran e elaj wo amil gir parhay aur aise bagay ki mene itni haibat shayid kisi k chehray pe dekhi ho.
phir makaan ka kaam rukwa dia aur par uss dauran meray abu ko karobar me bhari nuqshan honay lagaa aur wo barbad ho gaye par.n meri maa manti thi n mere abu....

https://rohanihaziraat.blogspot.com/2012/08/jin-ki-beti-part-2.html

Saturday, August 25, 2012

ROHANI COURSE

SALAAM,
mashallah...!aj hamaray rohani course me 17 members ho gaye hai.aur alhamdullillah,kai hazraat shamil honay walay hai.
meine pahle jab ye alaan kia tha ki rohani course start ho rahaa hai to post me meine GOLDEN OFFER likha tha. aur ye ek golden offer hi hai jo meray babajan ka aap par ahshan hai jo meri apeel pe wo razi ho gaye.q k usmay garibo ka bhala bhi hoga.
babajan ne apnay ek garib murid ko 5000rs. ki ek thela-gadi le kar di aur uss garib ka rozi roti ka zaria ab aur achha hua.
khair,1100 rs.koi barhi rakam nahi.agar ham chahtay to 5000 bhi rakh saktay the.par hamara maqshad dhandha nahi n elm ki dukan chalana.n bewakof banaanay ka.

aj net pe kai site logo se ek amal k hazaron rupay le rahe hai aur log dekar pachtatay hai.
yahan 1100rs me mera barso ka tazurba apko de rahan hu.
ilm rohania me log moakil,hamzad,jin,pari jaisy gaibi makhloq k pichhay daurd tay hai.aur waqt w paisa barbad kartay hai.koi wazeefa mil janay se aur ijazat mil janay se aap chilla karlengay to wo taqt aap ke taskhir me aajaegi? nahi uskay liye kai manzilay hai,jiska ek joz ye mera basic course hai.ilm rohania koi mushkil w nayaab nahi,sahih rahnumai zarori hai.es course me jab aap btaye tariqo pe amal karke jo paenge tab ap janayge ki apne essay pahle to waqt zaya kia.me apko ilm e rohania jo ek khazina hai,uskay darwazay ki chabi dunga aagay apki koshish himmat w mahnat ki aap usmay se kitna hasil kar saktay ho.mei bhi koi AMIL E KAMIL nahi ek adna se adna talib e ilm hu.jo janta hu wo share karunga.
agar sahih me apko ilm rohania ka sauk hai to bas 3 mahinay mere sathi rahe aur apni manzil ka rasta hasil karay.chalna khud apko hai me to rah dikhaunga.ha,kuch aisy amal w tawizat naqoosh bakhshisi taur par diye jaengay jo bina kuch chilla w zakat k kaam dega.
ye rasta khula rahega jab tak murshid ishara n karay
khak paa e QADRI CHISTY...!

Sunday, August 19, 2012

JIN SE MULAKAAT


شمعون يهوش وه
JIN SE MULAKAT

karnay k liye rat ko sotay waqt apne left hath k angoothay k nakhoon par black ink se uparwala naqsh likhay aur khilwat wali jagah chupchap sojaye.inshallah rat ko ek jin apko jagaega aur apkay mas,alay ka jawab btayega.
darna nahi hai aur kamzor dil hazraat n karay.
ye amal taskheer ka nahi mulakaat ka hai par,essay apka taskheer ka hosla barhayga.aur ziadatar log jab rat ko jin unhay jagata hai tab hi darr jatay hai.amal ek din ka hai magar ziada se ziada 7 din karay.jumerat k jumua k darmiani koi bhi shab se start karay.khusbo lagakar amal karay.
koi baat ho to coments k zariye puchay aur post ki coments parhnay k b,ad hi new coment karay taki waqt barbad n ho aur meray bhi kai kam hai aur rohani course bhi chal rahaa hai.to jald jawab ki ummid n karay.
ADVANCE ME
AAP SABHI KO EID MUBARAK DE DETAA HOON Q K KAL WAQT NAHI MILAYGA.

Wednesday, August 1, 2012

ROOHANI RAHNUMAEE

ROOHANI RAHNOOMAEE...! Agar aap muzse w mere murshid ki kisi b amliat me rahnumai chahtay hai to fees ada karkay amaliyat ka course join kar saktay hain. aur esme apko bharpur madad ki jayegi. aur ye rupay hamaray murshid k garib murideen ko dia jataa hai,jis se apko bhi sawab w amliat me quwat hasil hogi.muft ki koi kimmat nahi.to agar ap ye faeda chahtay hai to 10 august se pahle ham se email k zariye rabta kar le.aur ye tamam info apko emails k zariye di jaegi. w sallam...!