Monday, April 20, 2015

JINN SE DOSTI KA DUSRA AMAL




Essay pahlay mainay jinn se dosti ka ek amal likha tha jo jinnati darakht pe ya jagah pe karna hota hain.us amal me kai mails aur msg aaen aur aatay rahtay hain aur kai ahbab kamyab bhi huvbay hain aur uskay saboot meray pas maujud hain.lekin usmay sab se mushkil sahih darakht pe amal karna hain.koi khatra nahi hain.aur jinn mushkil shart bhi nahi rakhtay.lekin aisa bhi nahi ki har banda kamyab ho jaen.Allah ki marzi ho wo kamyab hotay hain.kabhi kamyabi k karib aakar nakaam ho jatay hain.aur kabhi kai kisson me aisa huva ki jinn kisi rup hulye me hazir huva aur ijazat mangkar chala gaya.aksar wo kisi se rasta puchta hain kisi maholay ka pata puchta hain aur jo amal kar raha hota hain wo samjta hain ki ye koi aam insan hain aur dhoka kha jata hain aur phir hazri nahi hoti.lekin ye uska sila zaroor detay hain jo usay cigaratte di ho ya aur kuch uska badla zaroor dengay chahay jaldi de ya dair se aur chahay acha jinn ho ya bura ho.
Ab main mera khud ka bhi aazmaya huva aur digar meray doston ko bhi bataya aur usay bhi esmay kamyabi hasil hui hain aur uskay mails msg meray pas maujud hain.jitna hasil hota hain usmay se kuch had tak wo bata detay hain ki samarAli bhai aisa aisa huva hain aur kamyabi hasil hui hain.meray es blog ka maqsad ye hain ki aasan aur bekhatar amal ho.jisay aaj k zamanay me bhi meray readers ba aasani anjam de sakay aur kamyabi hasil ho.lekin kuch chor ki fitrat k malik meray blog se posts churakar logon se dhoka kartay hain aur ijazat vigera k liye paisa mangtay hain.aur tajob ki bat to ye hain ki uskay page ya blog jo bhi ho usmay log bhi aajatay hain hazrat sahib maulana sahib k ilqab se fatafat daryat karnay lagtay hain ki mujay ijazat ata farmaen.aur jaisay khud k bap ki jagir ho aisay jaon tumhay ijazat hain ka farman jari ho jata hain.aur ijazat k talabgar bhi jaisay ijazat se hi sab kuch hasil ho gaya ho aisay dua denay lagtay hain.
Meray amal meray murshid ki janib se aam ijazat hain esliye barbar mujay koi ijazat na mangay.ijazat ka masala aur hain aur aur jo insan apisay mangay ijazat k liye uskay juthay honay me aur koi suboot ki zaroorat nahi.khari aap sab hoshiyar rahay aur agar meray blog se koi meri post chori karkay apnay blog pe laga raha hain to aap hi usay khula karday aur bata diya karay to mujay khushi hogi.
Ab jo amal bata raha hun wo amal ka daromadar hain “NOOR NAAMA” hain aur wo aapko islamic book seller k yahan mil jaega aur aksar auratay esay parhti rahti hain.wo noornaama aap hasil karlay.ab dusri jo chizay es amal k liye chahiye wo ye hain ki chand gulab ya koi bhi khushbudar phool aur agarbattti aur sufaid mithayi ka kam se kam ek piece ho.ek musalla aur ek chadar agar wo bhi sufaid rang ki ho to bahtar hain.
Naye islamic chand 1 se 11 k darmiyan aap esay jumerat jumua itwar ya peer ki rat ko amal shuru kar saktay hain.
En raaton me dair rat amal shuru karay yani 12bje k bad karay to bahtar hain.jis kamray me amal karay wo kamra achay se saaf suthra ho.aur parhayi k waqt aapko koi wahan disturb na karay.
Ab gusal karkay pak libas pahan kar bawuzu musalla pe baithay aur samnay kuch duri pe ek chadar bicha de aur niyyat ye ho ki jo jinn aaenga wo yahan baithay esliye bichata hun.
Uspay bhi itr laga de aur aapkay khud k libas pe bhi itr lagaya ho.ek plate me gulab ya jo bhi phool aap laen hain wo rakhay aur bich me mithayi ka tukda rakhay aur uski niyyat ye ho ki ye mithayi w phool jo jinn aaega uskay liye tohfa hain.aur agarbatti sulga kar 3 martba durood e pak parh kar NoorNaama parhna shuru karay.karib 30 minits lagtay hain.noor naama ko parhnay me aur aahista aur sukoon se parhay.
Hisar karnay ki koi zaroorat nahi aur karna chahay to badni hisar kar saktay hain.jab khatm ho jaen to mithayi w phool wahin chhor day aur plate pe kuch dakkhan rakhna hain to bagair bismillah k bolay rakh de.aur chadar wahin bichhi rakhay.subah mithayi maujud ho to kisi bachay ko de de aur phool pani me bahaday gamlay me rakhday qabr pe daal aaen koi harz nahi.roznana nayi chizay rakhni hain.
Rozana waqt pe shuru kardiya karay.aur ye amal 40 din ka hain amal me koi parhez nahi hain.bas parhtay waqt pak saf rahna bawuzu rahna shart hain.
Kuch din bad jaisay 15 ya 21 ya essay ziada dino bad aisa ho sakta hain ki koi jinn aakar chadar pe baith jaen aur aapka noor nama sunay aur bad me chala jaen.agar samnay na aaen to aapko khwab me aaengay.aur kabhi mithayi bhi gum ho jati hain,jo plate me rakhi hoti hain.ek din wo khud aapsay samnay se bat karaega.tab aap noor nama khatm ho gaya ho to unsay bat chit karay.aksar wo noornama khatm honay k bad hi batchit karaengay.aur aapsay khushi ka izhar karaengay.aap se kuch talab karnay ko kahay to aap usay apna dost bananay ki khwaesh rakhay aur wo kabool karlaega.lekin shart ye hi hogi ki es dosti ko raz rakha jaega.aap unsay dubara mulakat ka puchlay ki kaisay hogi.aksar to der rat ko hi waqt bataengay.
Ye amal mainay kiya tha aur 21 din me kamyabi ho gayi thi.aur barhay achay jinn milay thay.
Rat ko bat hoti thi.aur ek bhai k larhkay ko jo barson se pagal tha thik kiya tha.aur unsay jo bhi mamlat huvay thay wo sab batadiye thay.
Es amal me aisa bhi hota hain ki kai bar chota bacha bhi aata hain.koi jawan hota hain to koi burha hota hain.kai martba khud ki kamzori k baes rubaro na milay to usmay digar quwat paida ho jati hain jaisay kisi ka haal bata dena aur apnay aap kisi k masalay ka elaj batadena.jisay wo khud nahi janta hota hain ki ye aisa ho sakta hain?jaisay ek martba ek aurat aayi thi uskay bachay ko lekar wo bahot rota rahta tha aur khana pina band tha.bahot zid karta tha.main naqsh dena chahta tha to apnay aap nikal gaya ki ek anda laon aur usay kala karlo.aur espay se 7 martba waar kar chaurahay pe rakhaon.us aurat ne aisa kiya to sach me bacha thik ho gaya aur meray pas kabhi aisa koi elaj maujud hi nahi tha jo mainay usay bataya tha.
Ab jinn Noornama ko kyu sunnay aatay hain ye to mujay pata nahi hain lekin es amal me essay kamyabi hoti hain.
Aur jiskay pas pahlay jinn ya koi arwah thi jo nek ho aur kisi wajah se wo rishta toot gaya ho aur wapis hazir na hoti ho wo bhi usay hazir karnay ki niyyat se es amal ko karay,wo dubara wapis hazir hogi aur kaam bhi karaegi.jiska tajorba bhi chand din pahlay ho chuka hain aur agar wo biradar ye post parhay aur nichay coments me tasdiq karday to digar readers ki hosla bulandi ho jaegi.
Ek khas bat mujay jo mila hain wo Ahlay bayt saadat se muhabbat ka rishta aur unki khidmat se mila hain.murshid e pak ki talim hi ye hain ki saadat ki izzat ki jaen chahay chota bacha hi kyu ho.agar aap bhi kuch hasil karna chahtay hain to saddat ki izzat karna sikhlay aur panjtan pak se dili lagaaon rakhay.dono jahan sawar jaengay.
Main to es ummat ki kashti e nooh me sawaar hun aur es ummat k sitaron se rahnumayi hasil kiye ja raha hun.ye beda paar hi lagaega…!
Ya Murshid Almadad…!
 noor nama ki ek page ki image laga raha hun taaki aapko pata chalay....
*AMAL K DAURAN ROSHNI KAM RAKHA KARAY..JAISAY ZERO LAMP JALAYA JAEN.

*AURTON KO ES AMAL KI IJAZAT NAHI HAIN...!