Sunday, October 5, 2014

JINN SE DOSTI K LIYE DARAKHT YA JAGAH PE JINN KA BASHERA MALOOM KARNAY KA NAQSH:



Es Naqsh Ko Mahinay Ki Kisi Bhi Jumerat Ko Subah Tuloo Aftab K Waqt Zafran W Arq Gulab Ki Siahi Se Sufaid Kagaz Par  Likhay.Aur Rat ko Sotay Waqt Apnay Takiye k Nichay Rakhay Aur Jis Darakht Ya Jagah Pe Aap Amal Karna Chahtay Hain Us Jagah Pe Jinn Hain Ya Nahi Wo Niyyat Dil Me Rakh Kar So Jaye.Insha Allah Pahlay Hi Din Aapko Maloom Ho Jaega.Esmay Isharon Me Bhi Bataya Jata Hain Ya Saaf Saaf Bhi.Jaisy Jisky Quwaat.
Pahlay Din Khwab Me Jawab Na Milay To Dusray Ya Tisray Din Bhi Karay.Ziada Se Ziada 7 Din Me Maloom Ho Jaega.
Ek Hi Naqsh Rozana Rakhay.Lekin Jab Jawab Mil Jaen To Usay Pak Saf Bahtay Huvay Paani Me Baha De Ya Kisi Pak Saaf Jagah Pe Dafan Kar Day.

Naqsh Likhnay Se Pahlay Aur Jab Jawab Mil Jaen Tab Kisi Garib Ko kuch Khairat De diya Jaen Jo Bhi Chahay Ek Rupya Dus Rupiya Ya Jo Aapka dil Chahay.Lenay Wala Koi bhi Mazhab Ka Ho.Mohtaj Ho.

Tuesday, July 22, 2014

DHOKAY BAAZON SE HOSHIYAR RAHAY...!

BEWARE OF FAKE:
ES TARHA WHATS UP AUR DIGAR ID BANA KAR KAI FRAUDIYE ASHKHAS MERE NAAM SE ID BANA KAR LOGON SE DHOKA KAR RAHAY HAIN.MERI SIRF DO HI ID HAIN 1.haziraat92@gmail.com
2.www.facebook.com/Amil.samarali
eskay elawa koi bhi jagah meri id nahi hain.aap sab aisay dhokay baazon se hoshiyar rahay...!
YAHAN JO IMAGE HAIN WO EK FRAUDIYA SHAKHS MERE NAAM SE CHALA RAHA HAIN AAP SAB USSAY AWARE RAHAY...! 

Saturday, July 5, 2014

TASKHEER MUAKKAL :IMDAD GHAIBI


Main aisay amaliyat blog me nahi likhta jismay sakht parhez ho aur khatra ho.jaisay ki blog ka title hain ki taskheer muakkal,to ye arz kardu ki es qism k aamal asraar e elahi me se hotay hain.aur nizaam aalam me khalal andaz hota hain.eski wajah ye hain ki aaj ka insaan aisy quwaton ko sambhal nahi paata aur kisi bhi waqt bhatak sakta hain.esliye aksar aamal poshida rakhay jatay hain.aur mere es amal ki ijazat har ek ko nahi kyu k aapkay khadim Amil SamarAli ne har amalliyat ki jo usnay apnay blog me likhay hain murshid mohtaram ki janib se ijazat aam hain.par kuch khas aamal k liye aapko kisi amil ki nigrani me karna shart hain.agar bagair sochay samjay kiya aur kuch nuqsaan huva to uska Amil SamarAli zimmedar nahi hain.
sab se pahlay to main yehi kahunga ki aapp kisi sahihul aqida anmbiya ahal e bayt w auliya k adab karnay walay peer se bayt ho jaen.jo auliya Allah k munkir hain amal me kamyab hona munkin nahi.
esliye ek to aap bayt ho jaen aur agar aisa mumkin nahi to phir istkhara karlay.agar ijazat milay to karay warna khyal tark kardijye.
IJAZAT HASIL KARNAY K LIYE ISTKHARA QADRIYA:
mangal ka din guzar kar jo rat aaen gusl aur taza wuzu  karkay kisi tanha kamray me do rakaat namaz nafil ada karay aur har rakat me surah e fateha k bad 11 martba surah e ikhlas parhay.
es namaaz ka sawaab hazrat Gaus e aazam radiallahu anhu ki rooh mubarak ko nazr karay.aur ab ek baar surah e kausar parhay,phir ek baar 
یا رشیدُ ارشدنی یا علیمُ علّمنی من الحال 
ya rashidu arshidnee ya aleemu allamanee minal haal.
es tarha phir ek bar surah e kausar aur ek bar azimat parhay.
aisay 360 martba parh kar apnay sidhay hath ki hatheli pe dam karkay hatheli apnay daaye rukhsar k nichay rakh kar sidhi karwat so jaen aur istkhara se pahlay niyyat karlay ki main amil samarali k amal taskheer muakkal k amal ki ijazat chahta hun.
aur parhtay waqt bhi maqsad ka dil me khyal rakhiye aur raat ko sotay waqt maqsad ka taswoor karkay so jaen.insha Allah pahli rat me hi jawab mil jaega.ab esmay kabhi bahot lamba khwab bhi aata hain aur kabhi sirf ishara milta hain.jaisay ki siah ya surkh[black or red] ya sufaiz ya sabz[white or green] rang nazar aata hain.agar siah ya surakh rang nazar aaen to amal ka khyal tark karday.aur sufaid ya sabz rang nazar aaen to amal ki ijazat hogi.
aur khwab samj me na aaen to mujay haziraat92@gmail.com pe mail karkay khwab bata saktay hain.
ab dusri baat ki es amal me parhez Jalaali rakhna lazmi hain.
uski sharaet likh deta hun.
ek to khanay me gost har qism chahay machi ho ya anda ya phir en sab k estemal se bani koi chiz ho,esay na kahaye,kyu k warna amal me nuqsan hoga aur aapko bhi nuqsaan ho sakta hain jiska zimeedar Amil SamarAli nahi.aur budbudar tamaam ashya kachi ya pakki na khaye.sabzi daal roti vigera kha saktay hain.jo bhi khaye halal qamayi ka ho.kisi aurat k hath ka pakka na khaye agar khud bana sakta hain to behtar hain.
har waqt bawuzu rahay.jimaa[sex] se dur rahay.apni estemal ki chizay alag rahay na kisi ki estemal karay na khud ki kisi ko estemal karnay de aur khanay k bartan bhi alahida rahay.saaf bhi apnay hath se karay.kam bolay kam khaaye aur kam soye aur gibat juth gali fahasgoyi se dur rahay.durood w istagfaar me mashgol rahay.namaz ki pabandi karay.amal me niyyat khidmat e khalq ki rakhay.parhnay ka kamra alag ho aur andar kisi ko na aanay de.amal k khilaf waqt me bhi koi andar dakhil na ho.kamray me itr vigera khusbu chhirakta rahay.
ab amal ki tarkeeb likh raha hun.
es amal ki shuruaat nauchandi jumeraat se ki jaen.aur agar pahlay aur aakhri din roza rakhay to behtar hain.kyu ki main Amil samar Ali har amal me rozay se rahta hun ya phir awwal o aakhir roza rakhta hun.puray din zikr w durood w istagfaar me guzaray aur jab raat aaen gusl karay,ya kam se kam taza wuzu karlay aur kamray me loban ya khushbudar agarbatti jalayi jaen.libas me sirf sufaid chadar badan pe odhlay.
aur badan pe khub itr lagaya jaen.ab musallay pe qibla rukh baith kar 11 martba aaytul kursi parh kar chhuri pe ya kalmay ki ungli pe dam karkay,apnay gird barha hisaar khinch lay.[light buza kar sirf ek shama roshan rakhay,ya zero lamp] ab Amil samarAli k es amal me ek chiz mushkil hain.wo hain chambeli k phool.kyu k es amal k liye rozana 121 chambeli k phool ki zaroorat hain aur wo aap chahay to ek sath le kar rakhlay ya phir rozana taza le aaen.ye aapki marzi par es amal me chambeli k phool k elawa koi aur phool nahi chalaegay.ek mitti k naye katoray me phool ginkar 121 rakhlay aur ek mitti ka katora samnay khali rakhay.ab ek chambeli ka phool uthaye ek bar durood e pak aur ek bar ye aayat parhay aur uspay dam karkay khali katoray me rakh de.esi tarha har phool pe ek bar dam karkay usay khali katoray me rakhday.jab 121 khatm ho jaen.har bar dam kartay waqt ekbar durood sharif parhay aur ek bar aayat parhay phir dam karkay phool rakhay.
ab es phool k katoray ko hifazat se rakhlay aur subah namaz e fajr k baad es phoolon ko samundar dariya taalab ya nadi me daal kar bagair pichay muday wapid chalay aaen.
ye ek din ka amal huva.es tarha 21 din amal karna hain.dauran e amal ajib khwab aaengay.aur aakhri din ya to aapkay kamray me ek muakkal hazir hoga ya aapko subah phool daalnay k bad milaega.ussay sharaet tay karlay.aur uskay paband rahay.agar bich me hazir ho aur koi lalach de ya amal band karnay ka kahay to uski baat pe yakin na karay aur amal jary rakhay.bich me dhoka kha gaye to bhi Amil Samar Ali zimedar nahi kyu k aksar ye dhoka detay hain.aur khwab me bhi kahtay hain ki falan jagah khazana hain khod kar nikal lay aur amal tark karday.agar uski hidayat pe ama karaengay to amal barbad ho jaega.bich me hazir ho to daray nahi aur salam karay aur tadad khatm nahi hui hain to sirf isharay se salam ka jawab de.

es muakkal ki taskheer k bad insaan Ganee ho jata hain.aur har jaez kaam me muakkal imdad karta hain.
amal ki saari wajahatay mainay likh di hain.soch samj kar karay.jo gunaho k aur gaaliyon k juth k aadi ho wo hargiz amal na karay.warna Amil Samar Ali ka wada hain sivaaye nuqsan e azeem kuch hath na aaega.koi bhi sawaal ho to mail karay...Haziraat92@gmail.com

parhnay ki aayaat ye hain....

 وَمَنْ يَتَّقِ اللَّهَ يَجْعَلْ لَهُ مَخْرَجًا وَيَرْزُقْهُ مِنْ حَيْثُ لَا يَحْتَسِبُ ۚ وَمَنْ يَتَوَكَّلْ عَلَى اللَّهِ فَهُوَ حَسْبُهُ ۚ إِنَّ اللَّهَ بَالِغُ أَمْرِهِ ۚ قَدْ جَعَلَ اللَّهُ لِكُلِّ شَيْءٍ قَدْرًا
surah e talaq aayat 2




***Ya Gaus Almadad***




.....................................................................................................................................................................................................................................................................................................................................................................................

Thursday, February 6, 2014

AMAL MUJRRIB KASHF E QABOOR:


Kai Ahbaab k bar bar israar par aur mere tamam muhibbin mere readers k liye aaj ek behad mujrrib Amal kashf e kaboor pesh karnay ki sa'adat hasil kar raha hun.aur inshallah ummid hain essay mere readers ko bahot faaeda hoga aur aisay amal ki pyas kuch had tak  bujaygi.

Ye amal ahl e mazar se mulakaat ka hain aur eskay fawaeed likhna mere bas ki baat nahi kyu k eska amil pe agar ahl e mazar ki nihah e muhabbat parhi to kamil bana detay hain.

amal aasan hain aur koi khatra nahi.ha,agar kisi sharab juvay ya zanakar ne kiya to uski halakat yakini hain.kyu k mujay maloom hain aisay log lalchi hotay hain aur maqsad bhi bura hota hain.ye amal un tamaam ahbaab k liye hain ki jo mujay mail msg karkay amal mangtay hain aur maqsad batatay hain ki main khidmat e khalq karna chahta hun.

amal se pahlay kisi bhi bar-haqq silsilay me bayt hona zaroori hain warna kamyab nahi hoga.aisay tamaam afraad ko ijazat aam hain jo kisi bhi silsilay me bayt ho chukay hain.ab meri makhsoos ijazat laynay ki koi zaroorat nahi.

aur ek baat yahan likh dun ki mere kisi bhi amal ki ijazat ki zaroorat nahi jo.mere blog...

www.rohanihaziraat.blogspot.com 

www.rohaniamliat.blogspot.com

pe likhay hain.yahan amal likhna hi mere murshid ki janib se ijazat hain.ha,agar kisi ne kisi jagah bagair ijazat COPY/PASTE kiya hain wahan k zimmedar ham nahi na hamari ijazat uskay liye hain.

ab amal ki tarkeeb likh raha hun...

chand dikhnay k 1 se 10 tareekh k darmiyan din raat me es amal ki ibtida karni hain.khyal ye rahay ki Qamar dar Aqrab ka din na ho.aur amal waqt e mukarrar parh parha karay.chand minat ki kami beshi se koi fark nahi.

amal k dauran sufaid libas pahanna hain.ye sirf amal k parhtay waqt pahanna hain.baki awqat me aap kisi bhi rang k pahnay koi harz nahi aur agar khuda taufiq de to har waqt sufaid libas hi pahna karay ki sunnat hain.

sub'ah ya raat ko aap kisi mas'hoor mazar sharif pe jayen,jo aksar karamat dikhatay ho ya logo ki hajatay puri hoti ho.wahan  sufaid mithayi aapki marzi k mutabiq chand gulab k phool itr gulab ya mogra aur agarbatti lekar jaen.janay se pahlay rozana gusl karlay aur bawuzu jaya karay.

mazar k andar dakhil honay se pahlay Assalamualaykum ya ahalal mazar kahay aur phir kahay ki sarkar main Gaus e aazam ka gulam aaya hun khali hath na lautana.

phir mazar me dakhil ho aur itr ko mazar pe chhirak de aur agarbatti jalaye aur phool mazar k sinay pe rakhay.aur mithayi pe fateha parh kar panjtan pak w sarkar Gaus e aazam ko nazr karnay k b,ad sahib e mazar ko nazr karay.

ab apni pusht Qiblay ki taraf rahay aur aapka chehra sahib e mazar k sinay ki taraf rahay aisay baith jaen aur 11 bar aaytul kursi parh kar apnay badan par phonk lay.

aur rozana 10 din  11363 martba aur 11 ve din 11370 martba ye azimat parhay....

الھی کر مدد اللہ الصمد 

ilahi Kar Madad Allahus Samad

aur parhtay waqt tawoor sahib e mazar ka rakhay aur niyyat sahib e mazar se mulakat ki honi chahiye.

11ve din mazar chak ho jaega aur ahl e mazar samnay hazir hongay aur aapsay sabb puchhaengay.aap ghabraye bagair adab se kharay ho jaen aur 3 bar salaam karay.aur kahay ki huzur main aapki imdad chahta hun aur wo kabool karaengay par shart rakhaengay.aur aapko uska paband har hal me rahna hain.aur ye bhi puchhlay ki mujay koi madad ki zaroorat ho to kaisay hasil karu? wo tareeqa bataengay.bilkul daray bagair bat chit karay.koi khatra nahi hain.

ha,bad parhezi na karay.aur shariyat k daeray me madad ya maswarah len.aksar ek khadim dekar rukhsat ho jatay hain.

yad rakhna ye amal taskheer k liye nahi.bhul se bhi ye na samj lena warna barha nuqsan uthaongay.

aur jo mazar ko nahi mantay wo amal karnay ka irada tak na karay.

ye amal aazmuda hain aur hamaray murshid ne hamaray mureed bhai janab A.basir sahib se bhi karwaya tha aur wo kamyab bhi ho gaye the.

shart ye thi ki jab bhi wo buzurg kisi k urs me talab karay tab A.basir sahib ko jana tha.aur ek saal tak wo jatay rahay aur ek bar nahi ja paaen to buzurg ne khwab me kah diya ki ab mera aur tumhara ye talooq khatm.bas phir kabhi usay nazar nahi aaen.aur A.basir sahib mere murshid k pas aakar ronay lagay the.kyu k usnay kai muqdas hastiyon ki mulakat ki thi us buzorg k zariye.

amal k dauran koi khwab ya bedari me amal band karnay  liye kahay ya dhamkaye to band nahi karna hain aur ye aapka amal sahih honay ki nishani bhi hain.

 *jo ashya likhi hai wo rozana le jani hain aur mithayi ko fateha k bad bachho ko bantday.aur rozana kuch khairat sahib e mazar k naam se garibo ko diya karay taki jald kamyabi hasil ho...!

*PARHEZ:

gosht har qism,anda machhli vigera aur hambistari aur badboodar ashya jaisay lahsoon pyaz muli ka istemal parhayi k dauran nahi kar saktay.

*Gaus e aazam radiallahu anhu Tamam pak dilo ko kamyab karay.aameen.