Sunday, December 1, 2013

ISTKHARAH MUJRRIB

Pahlay to main ye bataa du ki ISTKHARAH yani ALLAH ta'al se mashwarah hain.AAQA sallallahu alayhi w aale hi w sallam apnay sahaaba ko istkharah ki taalim diya kartay thay.
Aaj ka musalmaan har taraf se parayshan haal hain,kisi ka karobar nahi kisi ne karobaar shuru kiya to nuqsaan aur karz se parayshan ho gaya.kisi ne shadi karkay apnay ghar ko jahan num kar liya.ensab se hi hazaaron fasaad paida hotay hain.aur zindgi barbad ho jati hain.esliye aisay aham faisalay se pahalay Allah se mashwarah kiya karay to kabhi nuqsaan na uthaye aur har khasaaray se mahfooz ho jaen.
par istkharah wo nahi jo muj jaisay dukandar se karwalay ki Amil sahb main falan kaam karna chahta hun aap jara istkharah karday ki kaisa rahaega?mere bhaiyon aur pyari bahno istkharah koi barha baamuakkal chillah nahi ki aap na kar sako.behter yehi hain ki aap khud hi istkharah karo Rabb se dua maango ki ye tamaam aalam k Rabb main tere mahboob sallallahu alayhi w sallam k bataye tareeqay pe amal kartay Aaj falan mas,alay me tera mashwarah chahta hun,mera haq me jo behter hain wo mujay dikhaday.
inshallah aap ko jo behter hoga wo dikhaya jaega.
har barhay faisalay jaisay naya karobar,beta beti ka rista,naya makaan ya dukan ka kharidna,partnership karna,jaisay aham maamlaat agar istkharay se kiye jaen to inshallah aap barhi aafaat w khasaray se bach jaengay.
par phir kahunga ki aap khud hi karay kisi se karwa kar bharosha na karay.aur jo istkharay me hidayat milay  uspay amal karay.aisa hargiz na karay ki istkharay me manaa kiya gaya koi kaam aap karay.kyu k ye Rabb se mazak hua.aur jisay Rabb ne mana kiya wo kaam karkay kamyaab honay ki taqt kis insan,jinn, firishtay  me hain?
khair yahan me ek do tareeqay istkharay k likh raha hun jo aasaan bhi hain aur mujrrib bhi.waisay dekha gaya hain ki aaj kal jo amal aasan ho uski qadr nahi.agar kaha jaen ki qabristan me ja kar ek pair pe khaday ho kar parhna hain aisa amal hain to log dil chaspi dikhatay hain,pasand kartay hain.ya kahi jungle me jakar ped pe ulta latkar itni bar parho aisa amal bhi bahot pasand aata hain.phir bhi main kuch qadardano k liye muj nachiz kam-ilm k aisay aasan amal likhnay ki koshish kar raha hun.
kisi bhi kaam ya maslay k liye aap essay madad le inshallah aapko isharaa mil jaega.
ek aur baat ki istkharay hazaaron hain yahan main aapko batadun ki istkharay me isharay miltay hain.jaisay koi hari[green] ya sufaid chiz ka dekhna yani ijazat hain ya eskaam ko karnay se faaeda hain.aur agar koi surkh[red] ya siah[black]chiz ka dikhayi dena uskaam ka manayi hain esay na karay nuqsaan hoga.aur likhi hui muddat me koi jawaab na milay to eska matlab ye hain ki ye kaam aapki marzi par chhoda jata hain karay ya naa karay.kyu k karnay na karnay me koi faaeda ya nuqsan na hoga.
 AMAL NO.1
Rat ko sonay se pahaly do rak,at istkhara ki niyyat se ada karay aur uskay b,ad 11-11 bar durood e pak parh kar 150 martba
يا عليمُ
YA ALEEMU
ka wird karay.dil me khyal apnay maqsad ka rakhay.aakhir me aashista se apnay maqsad ki Rabb se dua mangay.niyyat to namaz se pahlay hi karlay ki aap kisi maqsad k liye ye kar rahay hain.
ab kisi se bat kiye bagair chup chaap bister pe so jaen aur jab tak nind na aaen durood e pak parhtay rahay aur apnay maqsad ko yad kartay rahay.inshallah 3 raat me aapko ishara mil jaega.ES AMAL KO AAP KABHI BHI KAR SAKTAY HAIN KOI DIN TAREEKH MUQRRAR NAHI.
AMAL NO.2
kisi khas faisalay se pahlay aapko janna hain ki anjam kya hoga to aap essay madad hasil karay.
bud jumerat aur jumua ki raat ko yani mangal ka din guzar kar jo raat aaen wo budh ki rat hain,esi tarha budh ka din guzar kar jumerat ki rat aur jumerat ka din guzar jumua ki raat hain.en teeno raaton me aap har rat 2 rak,at istkharay ki niyyat se ada karay aur 786 martba
بسم الله الرحمن الرحيم
Bismillah hir rahman nir raheem
ko 132 -132 martba koi bhi durood e pak awal o aakhir parhay.maqsad ki dua maang kar so jaen.inshallah pahlay din hi jawab mil jaega.agar pahlay din na jaab milay to 3 din me zaroor wajeh jawab mil jaega.
AMAL NO.3
Upar jo naqsh diya hain ussay bhi istkhara kar saktay hain.par bagair zakwat k itna kamyab nahi rahta to iski zakwat ada karay aur eska mukammal faaeda uthaye. tareeqa ye hain ki chand ki pahli jumerat ya jumua ya peer se eski zakwat ada karni shuru karay.barhi aasan si hain.main tarkeeb likh deta hun.aap khud koi sawal na uthaye ek dam aasan hain.
es naqsh ki zakwat ye hain ki esay 1073 martba likh lay.ab ye aapki marzi ki aap ek din me likhlay ya 3 din me ya ek mahinay me.asal baat tadad ka khatm karna hain.zakwat ka naqsh aapko kaali pencil se likhna hain.aur jab tadad khatm ho jaen to har ek ko bagair kaichi ya kisi dhat se juda kiye hath se ya kisi bhi tarkeeb se juda karkay goli bnakar upar thora sa aata lapayt kar en goliyon lo aisay pani me daal aaen jaha machhaliyan ho.aap rozana likhay naqsh ki goliyan rozana bhi dal saktay hai ya  aakhri din ek sath daal aaen.zakwat k naqsh bawuzu likha karay aur koi parhez khanay pinay ka nahi.
zakwat k b,ad 3 naqsh rozana likhtay rahay.taki amal kaboo me rahay.
ab jab istkharay ka kaam ho to taza wuzu karay aur 2 rak,at namaz istkhara ki niyaat se parhay aurdono rakat me jo bhi surat yaad ho parhay.phir usi jagah jahan namaz parhi hain baithkar  9 naqoosh likhay.8 kisi kuway me ya nadi talab me dalnay hain.ek ko sotay waqt sirhanay rakh kar su.fateha parhtay parhtay maqsad ko yaad kartay so jaen.inshallah pahlay din hi aapko sab dikhaya jaega.shart ye hain ki kisi ko kahay nahi.sinay me rakhay.
su,ab 8 naqsh jo alag rakhay the wo aur ye sab sath me kuway me ya nadi talaab me dal aaen.
NOTE:NAQSH ME JO CORNERS ME MAINAY NUMBERS LIKHAY HAIN WO NAQSH KI CHAAL SAMJANAY K LIYE HAIN,ASAL NAQSH ME NAHI LIKHNA HAIN.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.