Tuesday, December 18, 2012

HAZIRAAT E ROOH part 2

Apki right hand ki taraf jo fard baitha hai uski taraf eshara karnay
ko kahay aur NA k liye left ki taraf eshara karnay k liye kahay.jab wo
HA kahay to dhiray dhiray HA aur NA me jo jawab milay aisay sawaalat
puchhay.ye sesion 45minutes se ziada na karay.aur akhir me hazir ruh
ko sardar janay ki ijazat kuch buland aawaz se kahay.yahan ye ba,at
yad rakhye ki ruh ko aakhir me ijazat zaror de de warna nuqsan
pahochaegi.wo hindu biradar batatay the ki ekdin wo sab ruh ko ijazat
diye bagair uth gaye aur akhirkar wo ruh ek rat uski biwi pe musallat
ho gayi.
Esmay jab sardar sawalat karta hai to apko hairat hogi ki stove ka leg
uth kaisay raha hai?sab ek dusray pe shak karaenge ki shayad ye uski
tarf dabaon de raha hai,esliye leg uth raha hai.par aisa kuch nahi
hota ye ruh hi harkat karati hai.
Esmay do tariqay se sawal k jawab liye jatay hai ek Ha aur Na se dusra
a,b,c,d se yani agar apko tafsiili jawab chahiye to ruh ko kahdo ki wo
english me jawabat de to wo apko es tarkeeb se jawab deti hai...
A k liye leg ekbar thak ki aawaz karaega
B k liye 2bar thak ki aawaz karaega
C k liye 3 bar esi tarha wo thak thak ki aawaz karaegi.mein ye post
likh raha hun tabhi ek ruh muzay eshara de rahi hai.
Jo notebook wala hai wo ye thak thak ki ginti karta jaen aur uss hisab
se english harf likhta jaen.ek harf k liye thak ki aawaz karke kuch
wakfa hota hai taki aap samaj sakay.es tariqay se aap uska naam bhi
puch saktay hai.aur pahlay pahlay kuch chote sawalat karay.taki aap
thak na jaen.
B,ad me uska shukria maan kar usay janay ki ijazat de de.(continue...)

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.