Tuesday, December 18, 2012

HAZIRAAT E ROOH part 3

Aap uska shukria maan kar ijazat de de.agar ijazat dena bhool gaye to
woh ruh apkay ghar me thahar jaegi aur aap parayshani me parh jaenge.
Es tariqay me ruh ki haziraat hoti hai aur ye koi khel nahi.aur khel
samajnay walay essay door rahay.bahot ahtiyat se karay.jo ruh ka aur
amliat ka mazak udatay hai uski hazri me ye amal na karay.esmay aanay
wali kuch ruhay kaam bhi kardeti hai.par har ruh nahi karti.hisar
badni zaror karay.aur jo sardar ho wo hi sawaalat karay.future k baray
me koi sawaal na karay na kisi mariz ko acha karnay ka ya aseb ka elaj
karnay ka kahay.na apnay saamnay aanay ka kahay.na kisi ko nuqsan
pahochanay ka kahay.sirf sawal jawab tak mahdood rahay to acha hai.
Ye haziraat ka tariqa batanay walay hindu biradar ne bataya k hamaray
gaon ka jo raja(king)tha wo es haziraat se bahot kaam layta tha.
meine(samarali) ne bhi es tariqay ko bataur aazmaesh kia aur bahot
sahih paaya hai.ekbat aur ki esmay kisi ki maut kab aaegi?jaisy sawal
na puchay.aur kabhi maut k baray me koi jawab aaye to yakin na
karay.na hazir ruh k btaye koi sadqa khairat kabhi karay.
Jo ahtiyat se kar payen wo hi karay.aur be-ahtiyati bartnaywalay ya
mazak samajnaywalay ya khel ki tarha istemal karnaywalay apni
zimmedari pe karay.mein(samarali) zimmedar nahi.

HAZIRAAT E ROOH part 2

Apki right hand ki taraf jo fard baitha hai uski taraf eshara karnay
ko kahay aur NA k liye left ki taraf eshara karnay k liye kahay.jab wo
HA kahay to dhiray dhiray HA aur NA me jo jawab milay aisay sawaalat
puchhay.ye sesion 45minutes se ziada na karay.aur akhir me hazir ruh
ko sardar janay ki ijazat kuch buland aawaz se kahay.yahan ye ba,at
yad rakhye ki ruh ko aakhir me ijazat zaror de de warna nuqsan
pahochaegi.wo hindu biradar batatay the ki ekdin wo sab ruh ko ijazat
diye bagair uth gaye aur akhirkar wo ruh ek rat uski biwi pe musallat
ho gayi.
Esmay jab sardar sawalat karta hai to apko hairat hogi ki stove ka leg
uth kaisay raha hai?sab ek dusray pe shak karaenge ki shayad ye uski
tarf dabaon de raha hai,esliye leg uth raha hai.par aisa kuch nahi
hota ye ruh hi harkat karati hai.
Esmay do tariqay se sawal k jawab liye jatay hai ek Ha aur Na se dusra
a,b,c,d se yani agar apko tafsiili jawab chahiye to ruh ko kahdo ki wo
english me jawabat de to wo apko es tarkeeb se jawab deti hai...
A k liye leg ekbar thak ki aawaz karaega
B k liye 2bar thak ki aawaz karaega
C k liye 3 bar esi tarha wo thak thak ki aawaz karaegi.mein ye post
likh raha hun tabhi ek ruh muzay eshara de rahi hai.
Jo notebook wala hai wo ye thak thak ki ginti karta jaen aur uss hisab
se english harf likhta jaen.ek harf k liye thak ki aawaz karke kuch
wakfa hota hai taki aap samaj sakay.es tariqay se aap uska naam bhi
puch saktay hai.aur pahlay pahlay kuch chote sawalat karay.taki aap
thak na jaen.
B,ad me uska shukria maan kar usay janay ki ijazat de de.(continue...)

HAZIRATE ROOH part 1

Ye haziraat ka ek anokha aur kadeem tariqa hai jo muzay ek hindu
biradar ne bataaya tha.wo mere paas apni biwi ko elaj k liye lekar
aaye the.aur muzay bataaya ki meri biwi pe ek ruh hai jo meri biwi pe
kabiz hai aur btaya ki ye ruh meri hi galti ka natija hai.phir bataya
ki wo aur uskay gharwalay milkar ek haziraat k tariqay se ruh se
sawaal o jawaab kartay the.aur esi haziraat k sabb meri biwi ka ye
haal hai.
Ab uski biwi ka haal pagal jaisa kyu hua ye mein apko aagay
bataunga.pahlay ye haziraat k baray me mein likhta hun aur meine kai
martba aazmaaya aur kai sawaalat k jawaabat hasil kiye.
Es hazirat me koi zakwat aur chillah nahi.
Apko ek pittal ka stove jiskay 3 legs hotay hai,wo hasil karna
hai.aur ek tanbay ka thaal chahiye.
Ab esmay 4 afrad ki zarorat parhti hai.3 hazirat me shamil hongay
aur jismay se 1 sardar rahaega.aur 4tha hai wo notebook aur pen lekar
sawal w jawab likhayga.
Ab jo sardar hai wo 11x aayetal kursi parh kar sabhi pe hisar ki
niyyat se phoonkay.aur kuch agarbatti jalalay. daerawala hisar n
karay.
Ab 3 afrad thaal k ird gird baithay aur sabi apnay sidhay hath ki
hathalian stove k upar ek ek leg par rakhlay.ab jo Sardar hai wo bar
bar kuch buland aawaz se yun dohraye ki agar yahan koi nek ruh hai to
aaye aur meri tarf ka leg hai uspay esara karay.kuch dair aisy hi
dohratay rahnay se jo sardar hai uski tarf ka leg uthayga aur khat ki
aawaz karke nichay ho taega.hathelian halkay se rakhay,taki leg aasani
se uthay.
Ab ruh se sawalat ki ijazat mangay.aur HA ke liye apki right tarf jo
fard hai ustaraf ka leg thanay k liye kahay .NA k liye left tarf ka.