Sunday, September 16, 2012

TASHKHEES

elmul huroof mera pasandid elm hai aur meine esmay kai naye irzad kiye hai aur elm ul huroof k kai raz muzpay mere murshid k karam se zahir huvay.agar muzpay murshid ki pabandia n hoti to aaj me rohani duniya k mushafiron ka dar dar bhatkna band karwa deta aur jo es raah k sahra me pyase bhatktay hai aur kai esi pyas k sath rukhsat ho jatay hai.usay me es pyas ko zarur buzata,
khair,
chahe elm e rohani ka koi bhi tariqa ho usmay elmul huroof muzay nazar aajata hai.mere ustad mohtramto yahan tak kahtay hai ki jo elm e huroof ka amil nahi hua wo amil kahlanay k layik nahi.
yahan jo me huroof likhta hon,usay mariz ki sidhi hatheli par black ink se likhay aur mariz ko bolay ki en huroof ko gaur se dekhay,agar marz ka sabb aseb hoga to mariz ko huroof ka rang surkh(red) nazar aayega.agar jismani marz hoga to b-dastoor siah nazar aayega.
essay apko tashkhees (diagnosis)
me madad milaygi.aur ye amal me mere blog k tamam khalq e khuda ko faeda danay ki nek niyyati karnaywalo ko ijazat e aam deta hu.waisy esblog pe jo bhi amal wazaef hai uskay liye alag ijazat ki zarorat nahi.
aur blog me jo amliat likhta hon wo muzrib hotay hai.muzay apko mahnat karanay se kya hasil?nakamyabi k kai sabb hotay hai amal ko galat n janay.har harf pe mokkil hai,koi bhi jumla tariqay se bologay to asar zarur btata hai.
wsallam...!

Jo huroof likhnay hai wo ye hai...
 س ص ط ر ی م و سی

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.