Thursday, September 13, 2012

QUWAT E TASKHEER



taskheer k kai aqsaam hai,koi khusoosi taskheer chahta hai koi aam taskheer chahta hai.kai aamaal jo  meine khud aazmaaye aur kamyabi bhi hasil ki (ye mere murshid k karam se ata karda rohani faizan se) aur kai hairatnuma result bhi dekhay. par yahan aj mei jo ek mera aankhon dekha haal byan karnay wala hoon,usay parhkar aap bhi hairat me parh jaengay. ekbar ham sab hamaray murshid k hamraah ek safar par gayen the.jahan b,ad e zohar sab murshid ki mahfil me hazir thay.aur kai topic par baat hotay hotay quwat e taskheer par baat chal parhi.aur kai aisy malumaat hamaray daaman me aayi jo n koi kitaab me parhnay ko mili thi n kisi se sooni thi.kai aisay nuskhay bhi,aur chutkulay bhi aur taskheer k totkay bhi hamari joli me aayen. phir baba jaan ne kahan ki kya tum taskheer ki kuwat ko apni ankhon se dekhna chahtay ho? ham sab ne ek hi aawaz me hami bhari. to babajan ne kahaa ki jao mahammad tausif(jiskay ghar me ye mahfil thi.) apnay aangan se 7 chhoti kankariya le aaon,aur ek thali bhi. jab babajan k samnay wo thali(plate) me kankariya pesh ki gayi to babajan ne usmay se ek kankari uthali aur kuch aahista se parha aur kankari pe phoonka. phir wo kankari ko thali me ek jagah par pakar rakhi.ham sab ye hairat se dekh rahen the ki kya hoga? kuch der b,ad jahan babajan ne kankari pakar rakhi thi wahan hamnay dekha ki sab kankariya jamaa ho gayi thi.par tab hamari samaj me kuchh n aaya. hairat me to ham tab parh gayen jab babajan uss kankari ko thali me jahan jahan ghoomatay baki sab kankariya pichhay pichhay chal parhti maano jaise koi talib matloob k pichay pichay. ye dekh kar ham sab ek dusray k mooh dekhtay rahay. kuchh dair b,ad babajan bolay dekho esay kahtay hai Quwat e Taskheer. chahay jandar ho ya bejan har kisi ko basmay karlay. aur kahan  ye hai es taskheer ka torh,ye kahkar jo kankari hath me thi uss par kuch parh kar phonka. aur phir se wo kankari thali me ghoomayi par ab to koi kankari pichha nahi karti thi. hamnay kahan ki masha Allah sarkar ye apki karamat hai to babajan ne kahan nahi mere beton ye to ek amil ki kuwat e taskheer ka namunaa tha.karamat to es jaisy chizon se kai goona buland o baalaa hai. mere doston ye jo bhi ho par agar sahih rahnomaee aur yakin kamil ho to insan aj k daur me bhi elm e rohaniat k maidan me kamyabi k darzat tay kar sakta hai. ek amil bhi kai hairatnuma kaarnamay ko anzam de sakta hai.par yakin,qawaneen aur rahnumaee ki zarorat hai...!
Allah meray murshid e kareem ko saad o aabad rakhay sehat e kamila ata karay aur taweel umr ata ho aameen...aap sabhi say bhi dua ki guzarish hain...!

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.