Sunday, August 26, 2012

*JIN KI BETI* part 1



sab se pahle ye bataadu ki ye koi amal nahi likh raha ki JIN KI BETI ki taskhir kaise karna hai.?
par es jumerat ko mere marizo k dekhnay k waqt mere pas mia-biwi aaye the ye unki kahaani hai.
nam farzi hai,
mere pas aayi bahan ka nam tha mumtaz aur uskay husband ka nam tha ashfaqbhai.mumtaz bahan k dono pairon k panjay me zakhm the aur patiya bandhi hui thi.
usne btaya ki kitni dawaee karwai par kuch faeda nahi ho raha hai.mene undono ko pucha ki kya wo mere saaray marizon ko dekhlu tabtak intzar kar saktay hai?usnay ha kahi aur ek taraf baith gaye.
akhir me jab unki bari aayi tab kamray me ham 5 admi mauzud the.meine ashfaqbhai se pucha ki ye mamla puraana hai aur dawaeewala nahi par dua tawiz wala hai.
usnay bola ji,ha ye sahih hai aur esi liye aapkay pas aaye hai.
meine kaha ki apki biwi pe ye asrat shadi se pahle balki wo nabalig thi tabsay hai.wo bolay sahih hai par pareshani to 2 saal se shuro hui hai.
meine bola ye jin momin hai aur bahot raees hai.apki biwi ko apni beti banaee thi.aur ye jo taklif hai unka sabb bhi ye jin hai.
tab mumtazbahan bolay ki aap sahih kah rahay hai.wo muzay beti mantay the aur jab me ghar me akeli hoti to wo muzay milnay aatay aur mithai wigaira detay.aur sonay k julay me julatay the.aur boltay ki mere 11 ladkay hai ladki ek bhi nai hai tu meri beti hai.aur muzay dhero rupay detay to me inkar karti to wo mere abu jo bekari ka karobar kartay the unko gaibana madad kartay the.aur saalbhar me to hamay malamal kardia.
phir ham jis ghar me kiraye pe rahtay the wo kharid lia.ab mere abu ne usay girakar nayaa banaana shuro kardia.
to wo jin abu ne muzay bola ki tere abu ko bolo ki jo corner wala chhota kamra hai wo n giraye aur sehan me jo neem ka ped hai wo n kantay.
mene abu ko btaya par abu n manay aur jab wo kamra giranay lagay to ek mazdoor buri tarha ghayal hogaya aur mere abu k hath me bhi chot aayi.meine abu ko samjaya par wo jidy the so n maanay.dusray din subah ham uthay to hamaray 3 bakray maray parhay the.par abu ki aankh n khuli.aur ek bhai jo bekri ka kaam sambhal rahay the to wo bhi jal gaye aur hospital jaa pahonchay.phir mere abu ne ek amil ko bulaya aur mera aur hamaray ghar ka elaaj karwaya.par dauran e elaj wo amil gir parhay aur aise bagay ki mene itni haibat shayid kisi k chehray pe dekhi ho.
phir makaan ka kaam rukwa dia aur par uss dauran meray abu ko karobar me bhari nuqshan honay lagaa aur wo barbad ho gaye par.n meri maa manti thi n mere abu....

https://rohanihaziraat.blogspot.com/2012/08/jin-ki-beti-part-2.html

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.