Wednesday, August 29, 2012

BEBARKATI DOOR KARNAY KA AMAL

Aaj kal har ghar me ye fariyad rahti hain ki ghar me barkat nahi rahti.
Bebarkati k kai sabb hain aur jisay buzurgonay apni kutub me bhi likha hain.
aur ek be barkati ka sabb bagair bismillah sharif k khana shuro karna hain aur khanay k b'ad razzaq ka shukr n adad karna.
yahan mera maqshad jo hamaray ghar me khana pakta hain aur jo chizay hoti hain jaise ghenhoo chawal,aata ,teil etc chizon me barkat paida karnay ka muj garib ka aazmaaya hua amal pesh karna hain.
Ajkal amliyat wazaeef se dil chashpi rakhnay walay hazraat ko koi sidaasaadaa amal bataye to ussay bharosha nahi aataa aur karnay me dilchashpi nahi dikhatay.jab ki sab jantay hai ki ek ek harf tasir rakhta hain.
Mere murshid ka to tariqa hi aasaani se talib ko apni manzil e maqshood tak pahochana hain.
Wo to amliyat me sakhti se uss k khilaf hain jismay talib e amliyat ko kuway me latak kar parhna ya jangle me wiraanay me jaakar ya shadid taklifay bardast karnaywalay amal bataadiye jatay hain jab ki ye shartay Amil ne apni khudsakhta banayi hui hoti hain aur amal me zarori nahi hoti,yani sidhay saaday amal ko paichida kardatay hain.taki khud hi amil kamil ya karamaati baba banay rahay.
galti kiski manay wo amil ki ya tedhay medhay amal ko pasand karnaywale talib ki?
Ab amal yahan likhta hoo.ye uske liye hain jo Allah k kalaam ki taqat w asar ko taslim kartay hain balki ek ek hurof ko moassir mantay hain.

#AMAL:
Jumerat ka din guzar kar jo jumua ki raat aaye uss raat me ba-wuzu khanay pinay ki chizon par 3-3 martba durood sharif aur
101 martba
بسم اللہ الرحمن الرحیم

BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM.

parhay aur khanay peenay me jo estemal hoti hain tamami chiz chawal ghehu tel aata sabzi masalay vigera pe dam karday,phoonk day.

5 jumua bilanagah aisa hi karay.

es amal se rizq me khairobarkat hogi,inshallah 10 admiyon ka khana 20 ke liye kaafi hoga.aur kabhi khanay me killat w tangi mahsoos n hogi.
mumkin ho to 3 chillay dohra le taki poora poora faiz hasil ho...!
amal k liye n koi khanay pinay ki parhaiz hain n uroz zawal ki qaid bas zarorat hain to yakin ki.
ye amal behtar hain ussay  ki kisi amil k dar par bebarkati k liye dastak de.

1 comment:

Note: Only a member of this blog may post a comment.