Saturday, February 11, 2012

LET'S START HAZIRAAT EXPERIENCED RITUAL FOR KAJAL HAZIRAAT

LET'S START HAZIRAAT EXPERIENCED RITUAL FOR KAJAL HAZIRAAT

Jo meine pahle haziraat ka kajal bananay ka tariqa bataya tha wo taiyar kar liyan ho to wo bhai ye amal shuron karday.

TAREEQA:
Ye parhay aap din rat me jab chahen shuroon karen.
pak saaf hokar rozana waqte muqrar par 11 din tak1000 martba ye do asmaa ka wird karen with 11x-11x durood pak before and after.
YA ZAAHIRU
YA BAATINU
يا ظاهر يا باطن

parhayi ke ba,ad kajal jo taiyar kar rakha hai uspar dam karen.agar sath me itr pe bhi dam karen to aur behtar hain.aur chand khushbondar agarbattia bhi jalayen.
ye kajal sambhaal kar rakhen.
11din ba,ad aap amil hai.haziraat se faeda utha saktay hai.
es amal me koi parhaiz nahi hain amal parhna ho uske pahle ek ghanta tak koi badboodar chiz n khayen aur kha li hain to miswak karke mooh saaf karle.
eski ba,ad wali post me jo amal parhna hai hazirat ke liyen wo amal yahan arbi me likh deta hoon.wahan english likhonga.
3 bar durod pak
ekbar
ھُوَ الاُسَامَةُ سِرّ نَاھُو یَا کَرِیْمُ
HUWAL USAMATU SIRRINAA HOO
7 bar
يا كريم
Ya Kareemu

¥ LET'S START HAZIRAAT ¥

Kajal banay ke liye jo chizen chahiye wo likhta hoon.* 12 adad kafoor(menthol) ki tikia
* rose water
* 2 china plate
* rooy
* machis
* heena itar
* ek chhoti dibbi kajal bhar nay ke liye
¥ TARKEEB ¥
Kafoor ki tikia ko rose water me 72 ghante bhigo kar rakh day.
72 ghante ba,ad uss pani ko ek china plate me nikale aur uss me rooy
ki batti bhigo de.
Ek plate ko usske upper ulta tang day.es tarha ki jab wo batti ko
jalaye to uska dhoaa uss plate par lagay.
Ab batti ko machis se bismilla....,parh kar jala day.khyal rakhye ki
uthnay wala dhoaa achhi tarha palate par lagay taki zyada kajal hasil
hon.
Jab poora paani aur batti jal jaye tab plate ko thanda honay day.kuchh
dair ba,ad jab plate thandi ho jaye toa uss plate ka saraa kajal jo
dhoaa lagnay ki wajeh se banaa hai,ussay ahtiyat say nikal kar dibbi
me bharlay aur uss me kuchh katre heena itar dalay.lekin khyal rakhye
ki zyada n dalde.bas,utna dalay ki kajal ki pest taiyar ho jaye.
Bas,kajal baray haziraat taiyar hain.
Ab 3 din ka apko waqt day rahan hoon.kajal taiyar kar rakhen phir amal
haziraat ki parhai jo uss kajal par karni hain,wo bataonga...!
Inshallah.
Muz faqir k haq me dua kijyega.
W sallam

1 comment:

  1. sir bray meharbani mujy yeh alfaz ko parnay ka sahi tariqa bata dain. ya mujy en par arab laga kar rahnumai farmay,

    هوالاسامة سرنا هو


    ALLAH APKA HAMI O NASIR HO.....

    ReplyDelete

Note: Only a member of this blog may post a comment.